suljha liya KHud ko
kabhī kabhī ḳhud hī ulajh jaatī huuñ maiñ
shāyad ḳhud ko hī nahīñ samajh paatī huuñ maiñ
kyā ahliyat merī kuchh bhī nahīñ
kyā zarūrateñ merī kuchh bhī nahīñ
maiñ ye nahīñ kahtī ki sirf maiñ hī sahī
koī insāñ nahīñ jis meñ nahīñ koī kamī
ho saktā hai ki merī ummīd ho kuchh ziyāda
par bhūlī nahīñ huuñ maiñ insāniyat kā va.ada
socho hamesha dene kī kuchh lene se pahle
koī dil dukhā.e bhī to us vaqt ko sah le
de ke use kuchh vaqt aur le ke vaqt apnā bhī
phir dhīre se de de tū apnī safā.ī
dekh usī vaqt barsegī ḳhudā.ī
jiit le ga.e ek dil bas itne jannat se
zindagī yuuñ hī kaT jā.egī chain amn se
dekhā baiThe baiThe hī suljhā liyā ḳhud ko
bas sochte hue hī pā liyā ḳhud ko
raah hai mushkil par chalnā zarūr hai
dekh terī manzil ab thoḌī hī duur hai
kabhi kabhi KHud hi ulajh jati hun main
shayad KHud ko hi nahin samajh pati hun main
kya ahliyat meri kuchh bhi nahin
kya zaruraten meri kuchh bhi nahin
main ye nahin kahti ki sirf main hi sahi
koi insan nahin jis mein nahin koi kami
ho sakta hai ki meri ummid ho kuchh ziyaada
par bhuli nahin hun main insaniyat ka wada
socho hamesha dene ki kuchh lene se pahle
koi dil dukhae bhi to us waqt ko sah le
de ke use kuchh waqt aur le ke waqt apna bhi
phir dhire se de de tu apni safai
dekh usi waqt barsegi KHudai
jit le gae ek dil bas itne jannat se
zindagi yun hi kaT jaegi chain amn se
dekha baiThe baiThe hi suljha liya KHud ko
bas sochte hue hi pa liya KHud ko
rah hai mushkil par chalna zarur hai
dekh teri manzil ab thoDi hi dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.