sun-bath
tumhāre haath kī ḳhushbū
mire uljhe hue bāloñ se lipTī hai
tumhāre lams kā har zā.iqa mahfūz hai ab tak
mirī poroñ ke hoñToñ par
badan par ghaas ke pattoñ ne rasta rok rakkhā thā
pasīne kī lakīroñ kā
mirī bhīgī hathelī ke tale
ḳhvāhish badan meñ kapkapātī thī
to jaise jhiil ke sāhil pe Thahrī kashtiyāñ
aThkheliyāñ karte hue paanī pe
halkore se letī thiiñ
tumhāre jism pe ugtī sunahrī ghaas meñ
jab jab havā.eñ sarsarātī thiiñ
to merī riiḌh kī haDDī meñ sarkanDe lachakte the
badan se dhuup kā maḳhmal uThā kar
havā.eñ surma.ī bādal ke pīchhe pheñk aatī thiiñ
to ham sūkhe hue pattoñ kī chādar oḌh lete the
vo ik lamha ki jis meñ chaar mausam aur do ham the
vahīñ par hai
abad kī jhiil ke azalī kināre par
tumhaare hath ki KHushbu
mere uljhe hue baalon se lipTi hai
tumhaare lams ka har zaiqa mahfuz hai ab tak
meri poron ke honTon par
badan par ghas ke patton ne rasta rok rakkha tha
pasine ki lakiron ka
meri bhigi hatheli ke tale
KHwahish badan mein kapkapati thi
to jaise jhil ke sahil pe Thahri kashtiyan
aThkheliyan karte hue pani pe
halkore se leti thin
tumhaare jism pe ugti sunahri ghas mein
jab jab hawaen sarsaraati thin
to meri riDh ki haDDi mein sarkanDe lachakte the
badan se dhup ka maKHmal uTha kar
hawaen surmai baadal ke pichhe phenk aati thin
to hum sukhe hue patton ki chadar oDh lete the
wo ek lamha ki jis mein chaar mausam aur do hum the
wahin par hai
abad ki jhil ke azali kinare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.