sun hawwa ki beTi
koī din aisā bhī aayā kyā
tum jī paa.ī ho apne liye
tum mar paa.ī ho apne liye
kabhī khul kar hañsnā sīkhā ho
kisī ḳhvāb ko chhū kar dekhā ho
jaagī ho apnī sub.hoñ meñ
kabhī soī apnī aañkh se tum
Daalī ho apnī jholī meñ
kabhī chāhat apne hisse kī
kabhī tanhā.ī ke pyāle meñ
koī lamha amrit jaisā bhī
kabhī ruuh ke sahrā meñ gūñjā
koī naam ḳhudā se pyārā bhī
kabhī zañg-ālūd kivāḌoñ par
kisī giit ne koī dastak dī
kabhī gūñge bahre lamhoñ meñ
aaseb koī ham-zād koī
kabhī dil kā bojh utārā bhī
koī din aisā bhī aayā kyā
tum jī paa.ī ho apne liye
tum mar paa.ī ho apne liye
koi din aisa bhi aaya kya
tum ji pai ho apne liye
tum mar pai ho apne liye
kabhi khul kar hansna sikha ho
kisi KHwab ko chhu kar dekha ho
jagi ho apni subhon mein
kabhi soi apni aankh se tum
Dali ho apni jholi mein
kabhi chahat apne hisse ki
kabhi tanhai ke pyale mein
koi lamha amrit jaisa bhi
kabhi ruh ke sahra mein gunja
koi nam KHuda se pyara bhi
kabhi zang-alud kiwaDon par
kisi git ne koi dastak di
kabhi gunge bahre lamhon mein
aaseb koi ham-zad koi
kabhi dil ka bojh utara bhi
koi din aisa bhi aaya kya
tum ji pai ho apne liye
tum mar pai ho apne liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.