sun lo ek kahani bachcho
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
tiin baras kī ik bachchī hai naam hai jis kā pūnam
lekin sab bachchoñ ne us kā naam rakhā hai raanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
us ke sar kī Topī laal hai boot haiñ us ke kaale
coat hai us kā rang-biranga kurtā us kā dhānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
biscuit ke dhoke meñ raanī khā jaatī hai roTī
duudh ke dhoke meñ vo aksar pī jaatī hai paanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
chheḌtī hai vo har ik shai ko jo bhī sāmne aa.e
radio ho yā heater ho yā ho vo chīnī-dānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
mummy us ko DaañT pilā.e yā diidī dhamkā.e
kahtī hai kahnā mānūñgī kartī hai man-mānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
tab tak sotī hī nahīñ hargiz der ho chāhe kitnī
ye har raat ko sun nahīñ letī jab tak ek kahānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
chūhe aur billī kī laḌā.ī saudāgar aur bandar
nanhe munne qisse us ko sab hī yaad zabānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
ik din jhūlā jhuul rahī thī apne ghar ke bāhar
TuuT ga.ī jhūle kī rassī nīche gir ga.ī raanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
girte hī vo zor se roī chīḳhī aur chillā.ī
lat-pat ho ga.ī nīche thī kuchh kīchaḌ aur kuchh paanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
rotī rotī ghar meñ aa.ī sab ne hañsī uḌaa.ī
kīchaḌ meñ sab Duub chukā thā us kā kurtā dhānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
pahle to be-chārī samjhī hamdardī kuchh hogī
sab kā hañsnā burā lagā to zor se roī raanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
thoḌī der meñ suukh ga.e sab us ke giile kapḌe
kapḌe jab sūkhe to bhāgī phir jhūle ko raanī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
ab ke bachcho ġhaur se tum jhūle ko dekhte rahnā
phir na kahīñ jhūle se kīchaḌ meñ gir jaa.e raanī
aur sunā.ī hai jo ham ne tum ko ek kahānī
phir ye ham ko saarī kī saarī na paḌe dohrānī
sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānī
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
tin baras ki ek bachchi hai nam hai jis ka punam
lekin sab bachchon ne us ka nam rakha hai rani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
us ke sar ki Topi lal hai boot hain us ke kale
coat hai us ka rang-biranga kurta us ka dhani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
biscuit ke dhoke mein rani kha jati hai roTi
dudh ke dhoke mein wo aksar pi jati hai pani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
chheDti hai wo har ek shai ko jo bhi samne aae
radio ho ya heater ho ya ho wo chini-dani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
mummy us ko DanT pilae ya didi dhamkae
kahti hai kahna manungi karti hai man-mani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
tab tak soti hi nahin hargiz der ho chahe kitni
ye har raat ko sun nahin leti jab tak ek kahani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
chuhe aur billi ki laDai saudagar aur bandar
nanhe munne qisse us ko sab hi yaad zabani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
ek din jhula jhul rahi thi apne ghar ke bahar
TuT gai jhule ki rassi niche gir gai rani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
girte hi wo zor se roi chiKHi aur chillai
lat-pat ho gai niche thi kuchh kichaD aur kuchh pani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
roti roti ghar mein aai sab ne hansi uDai
kichaD mein sab Dub chuka tha us ka kurta dhani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
pahle to be-chaari samjhi hamdardi kuchh hogi
sab ka hansna bura laga to zor se roi rani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
thoDi der mein sukh gae sab us ke gile kapDe
kapDe jab sukhe to bhagi phir jhule ko rani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
ab ke bachcho ghaur se tum jhule ko dekhte rahna
phir na kahin jhule se kichaD mein gir jae rani
aur sunai hai jo hum ne tum ko ek kahani
phir ye hum ko sari ki sari na paDe dohrani
sun lo ek kahani bachcho sun lo ek kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.