sun zara
sun zarā
maiñ ne sunā
ret kā Dher hai duniyā
yā kisī ḳhvāb kā 'aks
aur kuchh ret hai muTThī meñ mirī
reg-e-dīroz hai ye
biite hue vaqt kī ret
ret ke Dher tale ret hai madfūn mirī
ek be-nām sā katba hai nishānī merī
us Thikāne pe lage ḳhvāb Thikāne mere
sun zarā
maiñ ne sunā
log paḌhte haiñ kitābeñ merī
log kuchh log gulāboñ jaise
jin ke chehre haiñ kitābī chehre
un se kahnā ki ye merī nazmeñ
in meñ kuchh giit jo gaa.e na ga.e
aur kuchh ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ jaise
mere kuchh ḳhvāb haiñ tahrīr-shuda
jin meñ manzūm haiñ sab ā.ina-ḳhāne mere
sun zarā
maiñ ne sunā
merī rusvā.ī ke afsānoñ meñ
vo bhī hai darj jo likkhā na gayā
jo kahā aur na sunā
jo huā yā na huā
kis ko fursat ki palaT kar dekhe
kaun ḳhvāboñ kī vazāhat chāhe
kaise guzre haiñ zamāne mere
sun zarā
maiñ ne sunā
tū bhī suntā hai fasāne mere
sun zara
main ne suna
ret ka Dher hai duniya
ya kisi KHwab ka 'aks
aur kuchh ret hai muTThi mein meri
reg-e-diroz hai ye
bite hue waqt ki ret
ret ke Dher tale ret hai madfun meri
ek be-nam sa katba hai nishani meri
us Thikane pe lage KHwab Thikane mere
sun zara
main ne suna
log paDhte hain kitaben meri
log kuchh log gulabon jaise
jin ke chehre hain kitabi chehre
un se kahna ki ye meri nazmen
in mein kuchh git jo gae na gae
aur kuchh KHwab hain KHwabon jaise
mere kuchh KHwab hain tahrir-shuda
jin mein manzum hain sab aaina-KHane mere
sun zara
main ne suna
meri ruswai ke afsanon mein
wo bhi hai darj jo likkha na gaya
jo kaha aur na suna
jo hua ya na hua
kis ko fursat ki palaT kar dekhe
kaun KHwabon ki wazahat chahe
kaise guzre hain zamane mere
sun zara
main ne suna
tu bhi sunta hai fasane mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.