suna hai chandni-raaton mein aksar tum
ḳhamoshī se dabe paañv
bharī mahfil se uThte ho
khule ākāsh ke nīche kahīñ par baiTh jaate ho
phir apnā haath haule se baḌhāte ho
chamakte chāñd kī jānib
kabhī to muskurāte ho kabhī kuchh gungunāte ho
jo 'mīr'-o-'dard' kī ġhazleñ kabhī ham ko sunāte the
vahī sargoshiyāñ mujh se jo aksar karte rahte the
havā ke dosh par baiThī kiran se karne lagte ho
sunā hai be-qarārī meñ
Tahalte ho kabhī chhat par
kabhī har aks meñ merā sarāpā DhūñDhte ho tum
havāoñ meñ mirī ḳhushbū kabhī mahsūs karte ho
kabhī be aas ho kar phir zamīñ par baiTh jaate ho
bahut fariyād karte ho
mujhe hī yaad karte ho
magar ye saarī bāteñ to mahz ḳhvāboñ kī bāteñ haiñ
khulī jab aañkh merī to nazāra aur hī dekhā
koī paiġhām aayā thā
hamāre naam aayā thā
likhā thā us meñ dekho nā
ki ab kī chāñd jo niklā
use nazdīk se dekhā
use mahsūs kar paayā
mukammal pā liyā us ko jo shah-rag meñ machaltā thā
mubārakbād to de do vo merā ho gayā ab kī
sunā hai chāñdnī-rātoñ meñ tum bhī so nahīñ paatī
tū ab kī chain se sonā ki ab maiñ bhī nahīñ jagtā
KHamoshi se dabe panw
bhari mahfil se uThte ho
khule aakash ke niche kahin par baiTh jate ho
phir apna hath haule se baDhate ho
chamakte chand ki jaanib
kabhi to muskuraate ho kabhi kuchh gungunate ho
jo 'mir'-o-'dard' ki ghazlen kabhi hum ko sunate the
wahi sargoshiyan mujh se jo aksar karte rahte the
hawa ke dosh par baiThi kiran se karne lagte ho
suna hai be-qarari mein
Tahalte ho kabhi chhat par
kabhi har aks mein mera sarapa DhunDhte ho tum
hawaon mein meri KHushbu kabhi mahsus karte ho
kabhi be aas ho kar phir zamin par baiTh jate ho
bahut fariyaad karte ho
mujhe hi yaad karte ho
magar ye sari baaten to mahz KHwabon ki baaten hain
khuli jab aankh meri to nazara aur hi dekha
koi paigham aaya tha
hamare nam aaya tha
likha tha us mein dekho na
ki ab ki chand jo nikla
use nazdik se dekha
use mahsus kar paya
mukammal pa liya us ko jo shah-rag mein machalta tha
mubarakbaad to de do wo mera ho gaya ab ki
suna hai chandni-raaton mein tum bhi so nahin pati
tu ab ki chain se sona ki ab main bhi nahin jagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.