sunahri kursiyan
luTere luuT ke bastī ujāḌe
koī āvāz hangāma
koī shor na chīḳh
sipāhī piiTh phere
police naake se bāhar
mai-kade meñ
vakīloñ ke gown sab ḳhud hī kaale
kise munsif kareñ
sab gūñge bahre
adālat meñ tarāzū zīnat-e-ijlās
na giitā hai na qur.āñ
haiñ juzdānoñ meñ un kī sirf jildeñ
kaTore āñsūoñ ke ḳhālī ḳhālī
dil-e-āshufta ātish-bār-o-soz-e-nāla-e-shab-gīr
dil-e-sangīñ
sunahrī kursiyāñ ḳhandāñ-lab-o-mast
luTere luT ke basti ujaDe
koi aawaz hangama
koi shor na chiKH
sipahi piTh phere
police nake se bahar
mai-kade mein
wakilon ke gown sab KHud hi kale
kise munsif karen
sab gunge bahre
adalat mein taraazu zinat-e-ijlas
na gita hai na quran
hain juzdanon mein un ki sirf jilden
kaTore aansuon ke KHali KHali
dil-e-ashufta aatish-bar-o-soz-e-nala-e-shab-gir
dil-e-sangin
sunahri kursiyan KHandan-lab-o-mast
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.