sunahri machhli
baat hai to kuchh aib sī
lekin phir bhī hai
ho ga.ī thī mohabbat
ek mard ko
ek sunahrī machhlī se
lahroñ se aTkheliyāñ kartī
bal khātī chamchamātī machhlī
bhā ga.ī thī mard ko
TukTukī bāñdhe pahroñ
dekhtā rahtā vo
us shoḳh kī aThkheliyāñ
machhlī ko bhī achchhā lagtā thā
mard kā is tarah se nihārnā
bañdh ga.e donoñ pyaar ke bandhan meñ
milan kī ḳhvāhish fitrī thī
mard ne machhlī se iltijā kī
ek baar sirf ek baar
paanī se bāhar aane kī koshish karo
mohabbat kā junūn
itnā shadīd thā ki
baġhair kuchh soche-samjhe
machhlī paanī se bāhar aa ga.ī
chhaT-paTā ga.ī
bahut barī tarah se chhaT-paTā ga.ī
lekin ab
vo apne mahbūb kī bāñhoñ meñ thī
mohabbat kī kaifiyat meñ
kuchh pal ko
saarī taḌap saarī chhaT-paTāhaT jaatī rahī
do badan ik jaan ho ga.e
sairāb ho kar mahbūb ne
mahbūba ko paanī ke supurd kar diyā
baḌā anokhā baḌā masarrat-añgez
aur baḌā dardnāk thā ye mel
har baar puurī tāqat baTor kar
chal paḌtī mahbūba
mahbūb se milne
taḌphaḌātī chhaT-paTātī
pyaar detī pyaar paatī
sairāb kartī sairāb hotī
aur phir lauT aatī paanī meñ
ek din
machhlī ko jaane kyā sūjhī
us ne mard se kahā
aaj tum aao
maiñ paanī meñ kaise aa.uuñ
kuchh pal apne sāñseñ rok lo
machhlī ne kahā
saañs rok luuñ
ya.anī jiinā rok luuñ
kuchh pal jiine ke liye hī to aatā huuñ maiñ
tumhāre paas
saañs rok lūñgā to jiyūñgā kaise
mard ne kahā
machhlī sakte meñ thī
ek hī pal meñ:
mard kī fitrat aur mohabbat ke
bāhamī rishte kī sachchā.ī
us ke sāmne thī
ab
kuchh jānñe paane aur chāhne ko
baaqī nahīñ bachā thā
machhlī ne be-kaif nigāhoñ se
mard ko dekhā
aur Duub ga.ī
be-panāh gahrā.iyoñ meñ
udhar ḳhud se be-ḳhabar mard
jiine kī ḳhvāhish liye abhī tak vahīñ baiThā hai
aur soch rahā hai merā qusūr kyā hai
baat hai to kuchh aib si
lekin phir bhi hai
ho gai thi mohabbat
ek mard ko
ek sunahri machhli se
lahron se aTkheliyan karti
bal khati chamchamati machhli
bha gai thi mard ko
TukTuki bandhe pahron
dekhta rahta wo
us shoKH ki aThkheliyan
machhli ko bhi achchha lagta tha
mard ka is tarah se nihaarna
bandh gae donon pyar ke bandhan mein
milan ki KHwahish fitri thi
mard ne machhli se iltija ki
ek bar sirf ek bar
pani se bahar aane ki koshish karo
mohabbat ka junun
itna shadid tha ki
baghair kuchh soche-samjhe
machhli pani se bahar aa gai
chhaT-paTa gai
bahut bari tarah se chhaT-paTa gai
lekin ab
wo apne mahbub ki banhon mein thi
mohabbat ki kaifiyat mein
kuchh pal ko
sari taDap sari chhaT-paTahaT jati rahi
do badan ek jaan ho gae
sairab ho kar mahbub ne
mahbuba ko pani ke supurd kar diya
baDa anokha baDa masarrat-angez
aur baDa dardnak tha ye mel
har bar puri taqat baTor kar
chal paDti mahbuba
mahbub se milne
taDphaDati chhaT-paTati
pyar deti pyar pati
sairab karti sairab hoti
aur phir lauT aati pani mein
ek din
machhli ko jaane kya sujhi
us ne mard se kaha
aaj tum aao
main pani mein kaise aaun
kuchh pal apne sansen rok lo
machhli ne kaha
sans rok lun
yani jina rok lun
kuchh pal jine ke liye hi to aata hun main
tumhaare pas
sans rok lunga to jiyunga kaise
mard ne kaha
machhli sakte mein thi
ek hi pal mein:
mard ki fitrat aur mohabbat ke
bahami rishte ki sachchai
us ke samne thi
ab
kuchh jaanne pane aur chahne ko
baqi nahin bacha tha
machhli ne be-kaif nigahon se
mard ko dekha
aur Dub gai
be-panah gahraiyon mein
udhar KHud se be-KHabar mard
jine ki KHwahish liye abhi tak wahin baiTha hai
aur soch raha hai mera qusur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.