sunahri pinjra
ḳhuub hai ye chāñdī kā piñjrā
is meñ tū aa munnī sī chiḌiyā
pinjre meñ hai sone kī pyālī
is meñ tū khānā daana paanī
pahle khilā.uñgā tujh ko daana
khā.ūñgā phir maiñ apnā khānā
ThanDā paanī dūñgā tujh ko
ThanDī havā meñ rakhūñgā tujh ko
billī ke panjoñ se bachā kar
tujh ko Tāñgūñgā khūñTī par
chiḌiyā
sun ke ye bāteñ chiḌiyā bolī
karte ho bāteñ kaisī bholī
maiñ nahīñ is pinjre meñ aatī
qaid nahīñ ye mujh ko bhātī
haiñ sone kī pyālī se achchhe
dariyā nadī naale hamāre
pyaas hai mujh ko jis dam lagtī
paanī par huuñ aan utartī
piitī huuñ paanī aur nahātī
phur se huuñ maiñ phir uḌ jaatī
sone kī thālī meñ kyā hai
ḳhaak pe merā chogā ugā hai
paidā kiye haiñ khet ḳhudā ne
chugtī huuñ is se taaza daane
chāñdī ke pinjre se baḌh ke
mere liye haiñ chāñd aur taare
hai mirā allāh merā nigahbān
mujh ko bachātā hai vo har aan
ab rakh do pinjre ko Thikāne
jaatī huuñ maiñ chogā chugāne
KHub hai ye chandi ka pinjra
is mein tu aa munni si chiDiya
pinjre mein hai sone ki pyali
is mein tu khana dana pani
pahle khilaunga tujh ko dana
khaunga phir main apna khana
ThanDa pani dunga tujh ko
ThanDi hawa mein rakhunga tujh ko
billi ke panjon se bacha kar
tujh ko Tangunga khunTi par
chiDiya
sun ke ye baaten chiDiya boli
karte ho baaten kaisi bholi
main nahin is pinjre mein aati
qaid nahin ye mujh ko bhati
hain sone ki pyali se achchhe
dariya nadi nale hamare
pyas hai mujh ko jis dam lagti
pani par hun aan utarti
piti hun pani aur nahati
phur se hun main phir uD jati
sone ki thaali mein kya hai
KHak pe mera choga uga hai
paida kiye hain khet KHuda ne
chugti hun is se taza dane
chandi ke pinjre se baDh ke
mere liye hain chand aur tare
hai mera allah mera nigahban
mujh ko bachata hai wo har aan
ab rakh do pinjre ko Thikane
jati hun main choga chugane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.