suno beTi
suno beTī
mujhe tum se zarūrī baat kahnī hai
tumheñ mā'lūm hai beTī
tumhārā baap shā'ir hai
ki jis ne 'umr bhar alfāz ke sikke kamā.e haiñ
vahī sikke jo is bāzār meñ chalte nahīñ jis meñ
sabhī aisī dukāneñ haiñ
jahāñ kāġhaz ke TukḌoñ ke 'evaz kuchh ḳhvāb bikte haiñ
jahāñ par beTiyoñ ke qīmtī armān bikte haiñ
suno beTī
tumhāre ḳhvāb aur armān
in lafzoñ ke sikkoñ se ḳharīde jā nahīñ sakte
jo merā kul asāsa haiñ
suno beTī
tumhārā baap shā'ir hī nahīñ mujrim bhī hai jis ne
vo sab sikke kamā.e haiñ
jo duniyā ke kisī bāzār meñ bhī chal nahīñ sakte
ḳhushī meñ Dhal nahīñ sakte
suno beTī
mirā ai kaash lafzoñ se koī rishta nahīñ hotā
maiñ manDī meñ tijārat kar ke vo kāġhaz kamātā jo
har ik armān har ik ḳhvāb kī qīmat chukā sakte
tumhārā ghar sajā sakte
dulhan tum ko banā sakte
suno beTī
mujhe tum se zarūrī baat kahnī hai
suno beTi
mujhe tum se zaruri baat kahni hai
tumhein ma'lum hai beTi
tumhaara bap sha'ir hai
ki jis ne 'umr bhar alfaz ke sikke kamae hain
wahi sikke jo is bazar mein chalte nahin jis mein
sabhi aisi dukanen hain
jahan kaghaz ke TukDon ke 'ewaz kuchh KHwab bikte hain
jahan par beTiyon ke qimti arman bikte hain
suno beTi
tumhaare KHwab aur arman
in lafzon ke sikkon se KHaride ja nahin sakte
jo mera kul asasa hain
suno beTi
tumhaara bap sha'ir hi nahin mujrim bhi hai jis ne
wo sab sikke kamae hain
jo duniya ke kisi bazar mein bhi chal nahin sakte
KHushi mein Dhal nahin sakte
suno beTi
mera ai kash lafzon se koi rishta nahin hota
main manDi mein tijarat kar ke wo kaghaz kamata jo
har ek arman har ek KHwab ki qimat chuka sakte
tumhaara ghar saja sakte
dulhan tum ko bana sakte
suno beTi
mujhe tum se zaruri baat kahni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.