suno hamdam maiñ rasta bhuul baiThī huuñ
udāsī kā ghanā jañgal
mire ehsās pe tārīkiyoñ ke an-ginat saa.e bichhātā hai
mujhe aaseb kī sūrat Darātā hai
havā kī chīḳh merī niiñd ko aise nigaltī hai
ki jaise aag sūkhī lakḌiyoñ ko raakh kartī hai
jahāñ maiñ paañv rakhtī huuñ
vahāñ par vasvasoñ ke naag phan phailā.e baiThe haiñ
maiñ jitne zor se āvāz detī huuñ
mirī ḳhāmoshiyāñ apne tasalsul meñ mujhe aane nahīñ detīñ
mirī āvāz ghuT jaatī hai andar hī kahīñ par Duub jaatī hai
suno hamdam
maiñ tanhā huuñ
kabhī aao pakaḌ kar haath le jaao
mujhe tārīkiyoñ kī raat se raushan dinoñ tak saath le jaao
suno hamdam main rasta bhul baiThi hun
udasi ka ghana jangal
mere ehsas pe tarikiyon ke an-ginat sae bichhata hai
mujhe aaseb ki surat Daraata hai
hawa ki chiKH meri nind ko aise nigalti hai
ki jaise aag sukhi lakDiyon ko rakh karti hai
jahan main panw rakhti hun
wahan par waswason ke nag phan phailae baiThe hain
main jitne zor se aawaz deti hun
meri KHamoshiyan apne tasalsul mein mujhe aane nahin detin
meri aawaz ghuT jati hai andar hi kahin par Dub jati hai
suno hamdam
main tanha hun
kabhi aao pakaD kar hath le jao
mujhe tarikiyon ki raat se raushan dinon tak sath le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.