suno
suno
jin kī hañsī se is zamīñ par phuul khilte hoñ
jinheñ naġhme pe itnī dastaras ho
ki panchhī in kī lai par chahchahāte hoñ
unheñ to is tarah chup-chāp ho jaanā nahīñ sajtā
suno
saarī zamīñ gambhīr chup oḌhe hue sākit khaḌī hai
tum utnī hī karo ik baar hañs do
zamīñ kī munjamid sāñsoñ meñ
phir se zindagī chalne lagegī
pahle din se lohe ke juute pahnāo
yahī huā aur hotā aayā
sab ne dekhā
surḳh sajīle chehroñ vaalī
aur gadrā.e jismoñ vaalī doshīzā.eñ
āñgan kī dīvār pakaḌ kar chal paatī thiiñ
soch rahī huuñ
sadiyāñ kaise itnā pīchhe lauT aa.ī haiñ
chiin kī sarhad kaise mere ghar āñgan tak aa pahuñchī hai
lohe ke jūtoñ meñ jakḌe mere paañv
āñgan kī dahlīz alāñg ke
apnī duniyā tak jaane se inkārī haiñ
suno
jin ki hansi se is zamin par phul khilte hon
jinhen naghme pe itni dastaras ho
ki panchhi in ki lai par chahchahate hon
unhen to is tarah chup-chap ho jaana nahin sajta
suno
sari zamin gambhir chup oDhe hue sakit khaDi hai
tum utni hi karo ek bar hans do
zamin ki munjamid sanson mein
phir se zindagi chalne lagegi
pahle din se lohe ke jute pahnao
yahi hua aur hota aaya
sab ne dekha
surKH sajile chehron wali
aur gadrae jismon wali doshizaen
aangan ki diwar pakaD kar chal pati thin
soch rahi hun
sadiyan kaise itna pichhe lauT aai hain
chin ki sarhad kaise mere ghar aangan tak aa pahunchi hai
lohe ke juton mein jakDe mere panw
aangan ki dahliz alang ke
apni duniya tak jaane se inkari hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.