suno na jaanan
ye log mujh ko batā rahe haiñ
hamārī āñkheñ bahut haiñ raushan
ye barq jaisī chamak rahīñ haiñ
ki jugnūñ kī taḌap rukī ho
hai be-qarārī ġhazāl jaisī
ḳhumār kī sī hai kaifiyat bhī
dhanak ke jitne bhī rañg hoñge
hamārī āñkhoñ meñ bas ga.e haiñ
magar ai jānāñ
unheñ batā.ūñ maiñ kis tarah se
ye jagmagātī ye jhilmilātī sī merī āñkheñ
ḳhumār se pur ġhazāl jaisī
tumhāre ḳhvāboñ ke rañg le kar
amiin haiñ kitne rat-jagoñ kī
ye surḳh āñkheñ
talāsh meñ jo bhaTak rahī haiñ
shuā.eñ rañgoñ kī chhaT rahī hai
suno na jānāñ
ye log mujh ko batā rahe haiñ
ki merī āñkheñ bahut hai raushan
ye log mujh ko bata rahe hain
hamari aankhen bahut hain raushan
ye barq jaisi chamak rahin hain
ki jugnun ki taDap ruki ho
hai be-qarari ghazal jaisi
KHumar ki si hai kaifiyat bhi
dhanak ke jitne bhi rang honge
hamari aankhon mein bas gae hain
magar ai jaanan
unhen bataun main kis tarah se
ye jagmagati ye jhilmilati si meri aankhen
KHumar se pur ghazal jaisi
tumhaare KHwabon ke rang le kar
amin hain kitne rat-jagon ki
ye surKH aankhen
talash mein jo bhaTak rahi hain
shuaen rangon ki chhaT rahi hai
suno na jaanan
ye log mujh ko bata rahe hain
ki meri aankhen bahut hai raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.