suno sahelī kahūñ pahelī
hai jo koī būjhe
socho samjho aur phir pūchho
agar tumheñ nā sūjhe
soch samajh kar kahnā sunñā
apnā ek usuul
phūloñ meñ hai sab se pyārā
bhalā kaun sā phuul
sosan Tesū kamal motiyā
raat kī raanī champā
na na sūraj-mukhī chamelī
din kā raaja geñdā
in kā kyā hai murjhā.eñ to
ḳhaak baneñ yā dhuul
kapḌā ban kar jo tan Dhāñke
vo kapās kā phuul
dekh bhaal kar jāñch parakh kar
kahnā sachchī baat
dhātoñ meñ hai baḌe kaam kī
bhalā kaun sī dhaat
jis se bantī thaal kaTorī
gāgar pītal tāñbā
jhānjhar jhūmar jhumkā ban ke
jhumke chāñdī sonā
engine motor aur mashīneñ
jis ne kiiñ ījād
dhātoñ meñ hai sab se a.alā
lohā aur faulād
andar bāhar ek rahe jo
kabhī na badle bhes
duniyā bhar meñ sab se pyārā
bhalā kaun sā des
pyaar mohabbat aman shāñtī
jis dhartī kī shaan
sab se pyārā sab se nyārā
apnā hindostān
suno saheli kahun paheli
hai jo koi bujhe
socho samjho aur phir puchho
agar tumhein na sujhe
soch samajh kar kahna sunna
apna ek usul
phulon mein hai sab se pyara
bhala kaun sa phul
sosan Tesu kamal motiya
raat ki rani champa
na na suraj-mukhi chameli
din ka raja genda
in ka kya hai murjhaen to
KHak banen ya dhul
kapDa ban kar jo tan Dhanke
wo kapas ka phul
dekh bhaal kar jaanch parakh kar
kahna sachchi baat
dhaton mein hai baDe kaam ki
bhala kaun si dhat
jis se banti thaal kaTori
gagar pital tanba
jhanjhar jhumar jhumka ban ke
jhumke chandi sona
engine motor aur mashinen
jis ne kin ijad
dhaton mein hai sab se aala
loha aur faulad
andar bahar ek rahe jo
kabhi na badle bhes
duniya bhar mein sab se pyara
bhala kaun sa des
pyar mohabbat aman shanti
jis dharti ki shan
sab se pyara sab se nyara
apna hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.