suno
suno na jānāñ hasīñ huuñ lekin
maiñ sādgī ke tamām rañgoñ ko chāhtī huuñ
maiñ is badan se bahut hī nazdīk ek rūh-e-gudāz rakhtī huuñ jis kī ḳhātir
maiñ sañg hone ke ik safar pe ravāñ-davāñ huuñ
kabhī to is rāste meñ aao ġhubār dekho
maiñ jis ke parde se chhan rahī huuñ
mire badan se hazār lamhoñ pe ek lazzat jo muztarib hai
kabhī use āshkār dekho
maiñ tere lamsoñ ke vāste to nahīñ banī huuñ
asāsa terā huuñ vo asāsa
jo apnī qīmat nigāh-e-yūsuf se toltā hai
jo rūh-e-ādam se boltā hai
suno na jaanan hasin hun lekin
main sadgi ke tamam rangon ko chahti hun
main is badan se bahut hi nazdik ek ruh-e-gudaz rakhti hun jis ki KHatir
main sang hone ke ek safar pe rawan-dawan hun
kabhi to is raste mein aao ghubar dekho
main jis ke parde se chhan rahi hun
mere badan se hazar lamhon pe ek lazzat jo muztarib hai
kabhi use aashkar dekho
main tere lamson ke waste to nahin bani hun
asasa tera hun wo asasa
jo apni qimat nigah-e-yusuf se tolta hai
jo ruh-e-adam se bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.