suno tum waqt jaise ho
suno tum vaqt jaise ho
hamesha hī kisī jaldī meñ rahte ho
tumheñ jitnā bachātā huuñ
maiñ jitnā saiñt kar muTThī meñ rakhtā huuñ
tum utnā ḳharch hote ho
suno tum baat jaise ho
adhūrī baat jaise
jo mere hoñToñ pe kab se muntazir hai
aise lamhe kī
jahāñ maiñ kuchh na kah kar bhī
tumheñ har baat kah duuñ
aur tum sab kuchh samajh jaao
suno tum shaam jaise ho
jo din ke sard hone par
hamesha ghar kī nichlī sīḌhiyoñ par
merā istiqbāl kartī hai
mirī tanhā.iyoñ ke canvas meñ rang bhartī hai
suno tum ḳhvāb jaise ho
maiñ jab karvaT badaltā huuñ
yā phir palkeñ jhapaktā huuñ
to mere haath se unglī chhuḌā kar
tum kahīñ pe chhup se jaate ho
maiñ āñkheñ band kar ke phir tumheñ āvāz detā huuñ
magar phir tum kabhī vāpas nahīñ aate
na jaane kis nagar rahte ho tum
kis niiñd meñ bahte ho tum
kuchh bhī to nahīñ khultā
faqat TuuTī huī nīñdeñ hamāre haath aatī haiñ
suno tum phuul jaise ho
maiñ sadiyoñ se
tumhāre ḳhvāb kī ḳhushbū meñ mahkā huuñ
tumhāre kaif ke mausam meñ rahtā huuñ
tumhāre lams ke dhāre meñ bahtā huuñ
suno tum ishq jaise ho
bahut sachche bahut ujle
hamesha itne gahre ki tumhārī khoj meñ nikleñ
to apnī samt kā rasta bhī kho jaa.e
tumheñ kaise koī samjhe
tumheñ kaise koī paa.e
suno tum dhuup jaise ho
tumhāre jism se kirneñ Tapaktī haiñ
maiñ jab palkoñ se ye kirneñ uThātā huuñ
to merī aañkh meñ duniyā chamaktī hai
maiñ in chamkīle lamhoñ meñ
tumhāre saath saaya ban ke chaltā huuñ
havā kī bāñsurī pe
titliyoñ kā lams pahne
vasl ke manzar meñ Dhaltā huuñ
suno tum waqt jaise ho
hamesha hi kisi jaldi mein rahte ho
tumhein jitna bachata hun
main jitna saint kar muTThi mein rakhta hun
tum utna KHarch hote ho
suno tum baat jaise ho
adhuri baat jaise
jo mere honTon pe kab se muntazir hai
aise lamhe ki
jahan main kuchh na kah kar bhi
tumhein har baat kah dun
aur tum sab kuchh samajh jao
suno tum sham jaise ho
jo din ke sard hone par
hamesha ghar ki nichli siDhiyon par
mera istiqbaal karti hai
meri tanhaiyon ke canwas mein rang bharti hai
suno tum KHwab jaise ho
main jab karwaT badalta hun
ya phir palken jhapakta hun
to mere hath se ungli chhuDa kar
tum kahin pe chhup se jate ho
main aankhen band kar ke phir tumhein aawaz deta hun
magar phir tum kabhi wapas nahin aate
na jaane kis nagar rahte ho tum
kis nind mein bahte ho tum
kuchh bhi to nahin khulta
faqat TuTi hui ninden hamare hath aati hain
suno tum phul jaise ho
main sadiyon se
tumhaare KHwab ki KHushbu mein mahka hun
tumhaare kaif ke mausam mein rahta hun
tumhaare lams ke dhaare mein bahta hun
suno tum ishq jaise ho
bahut sachche bahut ujle
hamesha itne gahre ki tumhaari khoj mein niklen
to apni samt ka rasta bhi kho jae
tumhein kaise koi samjhe
tumhein kaise koi pae
suno tum dhup jaise ho
tumhaare jism se kirnen Tapakti hain
main jab palkon se ye kirnen uThata hun
to meri aankh mein duniya chamakti hai
main in chamkile lamhon mein
tumhaare sath saya ban ke chalta hun
hawa ki bansuri pe
titliyon ka lams pahne
wasl ke manzar mein Dhalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.