supurdagi ka safar ajab hai
tumhāre shāne pe haath rakh ke maiñ kab se mahv-e-safar huuñ jānāñ
maiñ jāntī huuñ basāratoñ kī vo āḳhirī hichkiyāñ vo lamhe
maiñ saare manzar hī kho chukī thī tumhāre shāne pe haath rakh ke
ki jaise andhī sī ik bhikāran
kisī ke qadmoñ se raah chun ke masāfatoñ ke surāġh paa.e
kisī kī āñkhoñ se dasht-e-zulmat rafāqatoñ ke charāġh paa.e
supurdagī kā safar ajab hai
vo raat sāvan kī dhuup jaaḌe kī aañkh terī vo ḳhvāb tere
thakan kī in āḳhirī hadoñ tak badan gunāh-o-savāb tere
junūñ kī rāh-e-amal tarāshī
dil-o-nazar ke latīf jazboñ pe vahshatoñ kā jo pairāhan hai
hisār-e-jāñ se ḳhumār-e-jāñ tak kā ye safar kis qadar kaThan hai
ye qurbatoñ meñ thakan kī ḳhvāhish
ki jaise shah-rag meñ kholte ḳhuuñ kī sarsarāhaT bhī jāñ-ba-lab hai
supurdagī kā safar ajab hai
tumhaare shane pe hath rakh ke main kab se mahw-e-safar hun jaanan
main jaanti hun basaraton ki wo aaKHiri hichkiyan wo lamhe
main sare manzar hi kho chuki thi tumhaare shane pe hath rakh ke
ki jaise andhi si ek bhikaran
kisi ke qadmon se rah chun ke masafaton ke suragh pae
kisi ki aankhon se dasht-e-zulmat rafaqaton ke charagh pae
supurdagi ka safar ajab hai
wo raat sawan ki dhup jaDe ki aankh teri wo KHwab tere
thakan ki in aaKHiri hadon tak badan gunah-o-sawab tere
junun ki rah-e-amal tarashi
dil-o-nazar ke latif jazbon pe wahshaton ka jo pairahan hai
hisar-e-jaan se KHumar-e-jaan tak ka ye safar kis qadar kaThan hai
ye qurbaton mein thakan ki KHwahish
ki jaise shah-rag mein kholte KHun ki sarsarahaT bhi jaan-ba-lab hai
supurdagi ka safar ajab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.