suqraat ki biwi
kahte haiñ baḌī tez thī suqrāt kī biivī
ḳhāvind se bas laḌtī hī rahtī thī vo din-rāt
suqrāt ke apne hī mashāġhil kī thī bohtāt
hairān thā kyoñ kar ho basar aise meñ auqāt
aise meñ kahāñ falsafa sūjhe hai kisī ko
chaltā rahe har vaqt jahāñ daur-e-ḳhurāfāt
hairān thā be-chāra kare bhī to kare kyā
qaabū meñ na biivī thī na bigḌe hue hālāt
kaj-fahm thī ziddī thī qayāmat thī sarāsar
suqrāt ko detī thī vo salavāt pe salavāt
chup rahtā magar sochtā thā dil meñ ye aksar
kyā jāniye kab tak rahe ye sūrat-e-hālāt
tañg aa ke muḳhātib huā biivī se vo ik roz
ai jān-e-vafā mujh ko batā sun ke mirī baat
merā vo gunah kyā hai ḳhatā kyā hai vo merī
kis jurm kī pādāsh meñ miltī hai ye sauġhāt
ye sun ke vo chup ho ga.ī phir taish meñ aa.ī
suqrāt kī dī piiTh pe bas daf.atan ik laat
kahne lagī tū buddhū kā buddhū hī rahā haif
samjhe na tirī aañkh ne qudrat ke ishārāt
ai falsafī kyā soch ke kar baiThā thā shādī
jo jurm kiyā tū ne ye us kī hai mukāfāt
taqdīr ke qaazī kā ye fatvā hai azal se
shādī jo rachātā hai vo pachhtātā hai din-rāt
kahte hain baDi tez thi suqraat ki biwi
KHawind se bas laDti hi rahti thi wo din-raat
suqraat ke apne hi mashaghil ki thi bohtat
hairan tha kyon kar ho basar aise mein auqat
aise mein kahan falsafa sujhe hai kisi ko
chalta rahe har waqt jahan daur-e-KHurafat
hairan tha be-chaara kare bhi to kare kya
qabu mein na biwi thi na bigDe hue haalat
kaj-fahm thi ziddi thi qayamat thi sarasar
suqraat ko deti thi wo salawat pe salawat
chup rahta magar sochta tha dil mein ye aksar
kya jaaniye kab tak rahe ye surat-e-haalat
tang aa ke muKHatib hua biwi se wo ek roz
ai jaan-e-wafa mujh ko bata sun ke meri baat
mera wo gunah kya hai KHata kya hai wo meri
kis jurm ki padash mein milti hai ye saughat
ye sun ke wo chup ho gai phir taish mein aai
suqraat ki di piTh pe bas dafatan ek lat
kahne lagi tu buddhu ka buddhu hi raha haif
samjhe na teri aankh ne qudrat ke ishaaraat
ai falsafi kya soch ke kar baiTha tha shadi
jo jurm kiya tu ne ye us ki hai mukafat
taqdir ke qazi ka ye fatwa hai azal se
shadi jo rachata hai wo pachhtata hai din-raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.