suqraat ki maut
maut kā farmān sun kar
yuuñ lagā suqrāt kahne
ai mire farmāñ-ravāo
ai vatan ke rahnumāo
maut se mujh ko Darā kar
tum ye kyā farmā rahe ho
rāstī ko chhoḌ duuñ maiñ
gyaan kā dīpak bujhā duuñ
sāñch kā saudā na bechūñ
maiñ sadāqat kā payambar
mahram-e-rāz-e-haqīqat
maz.har-e-nūr-e-ḳhudā huuñ
rāstī kā pāsbāñ huuñ
aadmī ke dil se mujh ko
duur karnā hai añdherā
zindagī jab tak rahegī
maiñ yahī kartā rahūñgā
maut se Dartā nahīñ maiñ
maut merī zindagī hai
maut merī aabrū hai
khīñch lo merī zabāñ tum
yā mirī gardan uḌā do
mujh ko suulī par chaḌhā do
ḳhvāh zinda hī jalā do
ye magar mujh se na hogā
rāstī ko chhoḌ duuñ maiñ
gyaan kā dīpak bujhā duuñ
sāñch kā saudā na bechūñ
laao ye jām-e-halāhil
mere hoñToñ se lagā do
chhīn lo guftār merī
ḳhatm kar do zindagī ko
haañ magar itnā batā duuñ
maiñ kabhī martā nahīñ huuñ
maiñ huuñ aisā tund sho.ala
maut ke tūfān se bhī
jo kabhī bujhtā nahīñ hai
merī hastī jāvedāñ hai
jāvedāñ merā takallum
mere lab tum sī sakoge
sūr-e-isrāfīl huuñ maiñ
ḳhaak ho jā.ūñgā phir bhī
guftugū kartā rahūñgā
dars-e-haq detā rahūñgā
māh-o-anjum kī ziyā se
nik.hat-e-bād-e-sabā se
lāla-o-gul kī mahak se
sub.h-e-ḳhandāñ kī damak se
ye sadā aatī rahegī
sach kabhī Dartā nahīñ hai
sach kabhī martā nahīñ hai
maut ka farman sun kar
yun laga suqraat kahne
ai mere farman-rawao
ai watan ke rahnumao
maut se mujh ko Dara kar
tum ye kya farma rahe ho
rasti ko chhoD dun main
gyan ka dipak bujha dun
sanch ka sauda na bechun
main sadaqat ka payambar
mahram-e-raaz-e-haqiqat
mazhar-e-nur-e-KHuda hun
rasti ka pasban hun
aadmi ke dil se mujh ko
dur karna hai andhera
zindagi jab tak rahegi
main yahi karta rahunga
maut se Darta nahin main
maut meri zindagi hai
maut meri aabru hai
khinch lo meri zaban tum
ya meri gardan uDa do
mujh ko suli par chaDha do
KHwah zinda hi jala do
ye magar mujh se na hoga
rasti ko chhoD dun main
gyan ka dipak bujha dun
sanch ka sauda na bechun
lao ye jam-e-halahil
mere honTon se laga do
chhin lo guftar meri
KHatm kar do zindagi ko
han magar itna bata dun
main kabhi marta nahin hun
main hun aisa tund shoala
maut ke tufan se bhi
jo kabhi bujhta nahin hai
meri hasti jawedan hai
jawedan mera takallum
mere lab tum si sakoge
sur-e-israfil hun main
KHak ho jaunga phir bhi
guftugu karta rahunga
dars-e-haq deta rahunga
mah-o-anjum ki ziya se
nikhat-e-baad-e-saba se
lala-o-gul ki mahak se
subh-e-KHandan ki damak se
ye sada aati rahegi
sach kabhi Darta nahin hai
sach kabhi marta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.