suqut-e-shadmani
masarrat ke us lamha-e-be-karāñ meñ ki ham donoñ leTe hue ghaas par niile ākāsh ko dekhte the
tumheñ yaad hogā ki tum ne kahā thā
ḳhushī shādmānī kī kitnī baḌī aur hasīñ saltanat mere zer-e-nagīñ hai
ye maḳhmal sā toshak-numā sabza
havā kā ye kaif-e-ḳhumārīñ
chamaktī huī dhuup ke garm paivast bose
falak kī farāḳhī
fazāoñ kā ye mehrbāna ravayya
aur in sab se baḌh kar tumhārī mohabbat kā sar-shār-o-pur-shor ehsās
ḳhudāyā masarrat kā ye lamha-e-be-karāñ mujh ko pāgal na kar de
magar aaj jab ham vahīñ apne mānūs goshe meñ pinhāñ
usī ghaas taḳhte pe leTe hue niile ākāsh ko dekhte haiñ
to mahsūs hotā hai jaise
zamīn sirf kāñTe ugātī hai
chamaktī huī dhuup par tiir hī tiir haiñ
āsmāñ ek patthar kī sil kī tarah siine par bojh hai
havāoñ se dam ghuT rahā hai
ḳhushī shādmānī kī vo saltanat luT chukī hai
aur ham donoñ dehlī se bhāge hue do muġhal shāhzāde
kisī ajnabī ġhair-mārūf bastī kī kohna sarā.e meñ
be-ḳhvāb karvaT badalte
bas is taak meñ haiñ ki kab aañkh jhapke aur ham apne sāthī ke siine meñ ḳhanjar utāreñ
masarrat ke us lamha-e-be-karan mein ki hum donon leTe hue ghas par nile aakash ko dekhte the
tumhein yaad hoga ki tum ne kaha tha
KHushi shadmani ki kitni baDi aur hasin saltanat mere zer-e-nagin hai
ye maKHmal sa toshak-numa sabza
hawa ka ye kaif-e-KHumarin
chamakti hui dhup ke garm paiwast bose
falak ki faraKHi
fazaon ka ye mehrbana rawayya
aur in sab se baDh kar tumhaari mohabbat ka sar-shaar-o-pur-shor ehsas
KHudaya masarrat ka ye lamha-e-be-karan mujh ko pagal na kar de
magar aaj jab hum wahin apne manus goshe mein pinhan
usi ghas taKHte pe leTe hue nile aakash ko dekhte hain
to mahsus hota hai jaise
zamin sirf kanTe ugati hai
chamakti hui dhup par tir hi tir hain
aasman ek patthar ki sil ki tarah sine par bojh hai
hawaon se dam ghuT raha hai
KHushi shadmani ki wo saltanat luT chuki hai
aur hum donon dehli se bhage hue do mughal shahzade
kisi ajnabi ghair-maruf basti ki kohna sarae mein
be-KHwab karwaT badalte
bas is tak mein hain ki kab aankh jhapke aur hum apne sathi ke sine mein KHanjar utaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.