suraj ka jhumar
chalo ham apne ghar kī chhat par
laTkā deñ
sūraj kā jhūmar
us jhūmar kī aag pe tum bhī
señk sakogī
apnī roTī
us jhūmar kī aañch pe maiñ bhī
jalā sakūñgā
apnī biiḌī
aur apne bachche bhī kisī din
fart-e-ḳhushī meñ naach sakeñge
maar ke us jhūmar ko patthar
chalo ham apne ghar kī chhat par
laTkā deñ suraj kā jhūmar
chalo hum apne ghar ki chhat par
laTka den
suraj ka jhumar
us jhumar ki aag pe tum bhi
senk sakogi
apni roTi
us jhumar ki aanch pe main bhi
jala sakunga
apni biDi
aur apne bachche bhi kisi din
fart-e-KHushi mein nach sakenge
mar ke us jhumar ko patthar
chalo hum apne ghar ki chhat par
laTka den suraj ka jhumar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.