surKH gulabon ke mausam mein
bahut be-rang se din haiñ
tire gulnār gāloñ ke gulābī phuul khilte haiñ
na tere phuul hoñToñ se
milan kī shoḳh bātoñ ke sunahrī rang meñ lipTī
koī titlī hī uḌtī hai
na din ke zard kāġhaz par tirī tasvīr bantī hai
na shab kī kaalī chādar par tirī āñkheñ chamaktī haiñ
na terī muskurāhaT kī kiran milne ko aatī hai
ragoñ ke sard ġhāroñ meñ
udāsī jamtī jaatī hai
tire gulnār gāloñ ke gulābī phuul khilte haiñ
na tere chehre ke pal pal badalte rang milte haiñ
harīm-e-zāt meñ jānāñ
bahut be-rang se din haiñ
bahut be-rang se din hain
tere gulnar galon ke gulabi phul khilte hain
na tere phul honTon se
milan ki shoKH baaton ke sunahri rang mein lipTi
koi titli hi uDti hai
na din ke zard kaghaz par teri taswir banti hai
na shab ki kali chadar par teri aankhen chamakti hain
na teri muskurahaT ki kiran milne ko aati hai
ragon ke sard ghaaron mein
udasi jamti jati hai
tere gulnar galon ke gulabi phul khilte hain
na tere chehre ke pal pal badalte rang milte hain
harim-e-zat mein jaanan
bahut be-rang se din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.