surKH lahu ka bahta dariya
jab tak mere jism ke andar
surḳh lahū kā bahtā dariyā
tābinda hai
rag rag meñ sūraj kī tamāzat
āñkhoñ meñ vishvās kā jaadū
sochoñ kī parvāz ḳhalā meñ
chāñd sitāre ek qadam par
muTThī meñ dhartī kā golā
jab tak mere jism ke andar
surḳh lahū kā bahtā dariyā
tābinda hai
jab tak mere jism ke andar
surKH lahu ka bahta dariya
tabinda hai
rag rag mein suraj ki tamazat
aankhon mein wishwas ka jadu
sochon ki parwaz KHala mein
chand sitare ek qadam par
muTThi mein dharti ka gola
jab tak mere jism ke andar
surKH lahu ka bahta dariya
tabinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.