surod-e-zindagi
Interesting Fact
(ماخوذ ازلانگ فیلو)
ai dil-e-ġham-gīñ na kah ye zindagī ik ḳhvāb hai
zindagī hai ik haqīqat gauhar-e-nāyāb hai
zindagī ik valvala hai zindagī ik josh hai
dāman-e-tūfāñ meñ ik hangāma-e-ḳhāmosh hai
go ba-zāhir zindagī ik naġhma-e-be-sāz hai
gosh-e-hāzir ke liye ye ġhaib kī āvāz hai
zindagī dasht-o-bayābāñ be-ḳhabar ke vāste
rashk-e-sad-bāġh-e-iram ahl-e-nazar ke vāste
zindagī aish-o-tarab meñ ḳhush kabhī rahtī nahīñ
ye kalī khiltī nahīñ jab tak alam sahtī nahīñ
gor is kī manzil-e-maqsūd ai ġhāfil nahīñ
bahr-e-be-pāyāñ hai ye is kā koī sāhil nahīñ
ho asar-andāz is par maut meñ ye dam nahīñ
zindagī miT jaa.e to bhī bā.is-e-mātam nahīñ
silsila hai irtiqā kā zindagī insān kī
tāza-dam hotī hai jām-e-marg pī kar zindagī
zindagī hai nafs ko zer-e-nagīñ laane kā naam
zindagī hai maut kī had se guzar jaane kā naam
ahd-e-māzī laakh raushan ho magar be-sūd hai
sub.h-e-fardā kī ziyāoñ par nazar be-sūd hai
haal ke lamhe haiñ zarrīñ un kā dāman thaam le
musta.id ho kar amal kar jazb-e-dil se kaam le
ḳhūgar-e-taqlīd ho to zindagī bekār hai
dūsroñ kī pairvī ik rog hai āzār hai
kashtī-e-nau-e-bashar kā nāḳhudā ban kar dikhā
ḳhizr bhī sajda kare vo rahnumā ban kar dikhā
zindagī terī misāl-e-mard-e-maidāñ ho aziim
tuur ho ye jism-e-ḳhākī ruuh mānind-e-kalīm
rahguzar terī basān-e-kahkashāñ tābāñ rahe
terī hastī par zamāna tā-abad nāzāñ rahe
ai dil-e-gham-gin na kah ye zindagi ek KHwab hai
zindagi hai ek haqiqat gauhar-e-nayab hai
zindagi ek walwala hai zindagi ek josh hai
daman-e-tufan mein ek hangama-e-KHamosh hai
go ba-zahir zindagi ek naghma-e-be-saz hai
gosh-e-hazir ke liye ye ghaib ki aawaz hai
zindagi dasht-o-bayaban be-KHabar ke waste
rashk-e-sad-bagh-e-iram ahl-e-nazar ke waste
zindagi aish-o-tarab mein KHush kabhi rahti nahin
ye kali khilti nahin jab tak alam sahti nahin
gor is ki manzil-e-maqsud ai ghafil nahin
bahr-e-be-payan hai ye is ka koi sahil nahin
ho asar-andaz is par maut mein ye dam nahin
zindagi miT jae to bhi bais-e-matam nahin
silsila hai irtiqa ka zindagi insan ki
taza-dam hoti hai jam-e-marg pi kar zindagi
zindagi hai nafs ko zer-e-nagin lane ka nam
zindagi hai maut ki had se guzar jaane ka nam
ahd-e-mazi lakh raushan ho magar be-sud hai
subh-e-farda ki ziyaon par nazar be-sud hai
haal ke lamhe hain zarrin un ka daman tham le
mustaid ho kar amal kar jazb-e-dil se kaam le
KHugar-e-taqlid ho to zindagi bekar hai
dusron ki pairwi ek rog hai aazar hai
kashti-e-nau-e-bashar ka naKHuda ban kar dikha
KHizr bhi sajda kare wo rahnuma ban kar dikha
zindagi teri misal-e-mard-e-maidan ho azim
tur ho ye jism-e-KHaki ruh manind-e-kalim
rahguzar teri basan-e-kahkashan taban rahe
teri hasti par zamana ta-abad nazan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.