surrogate-mother
rafta rafta
muaaf karne kā chalan
maddham paḌtā jā rahā hai
kyā tumheñ yaqīñ nahīñ
ki
badalte hue lamhoñ kī chakkī meñ
aḳhlāqiyāt rivāyāt aur qadreñ
pis rahī haiñ
aaj
hamārā muāshra
be-ġhairatī ke us sañgam par khaḌā hai
jahāñ
aurat kī pākīza kokh
kirā.e par lene ke liye saud-e-bāzī ho rahī hai
hamārī be-hisī ne
hamāre laboñ par ḳhāmoshī kī mohr sabt kar rakhī hai
to ai ahl-e-dil
kal kyā hogā
jab muāfī māñgne kā chalan
ḳhatm ho jā.egā
rafta rafta
muaf karne ka chalan
maddham paDta ja raha hai
kya tumhein yaqin nahin
ki
badalte hue lamhon ki chakki mein
aKHlaqiyat riwayat aur qadren
pis rahi hain
aaj
hamara muashra
be-ghairati ke us sangam par khaDa hai
jahan
aurat ki pakiza kokh
kirae par lene ke liye saud-e-bazi ho rahi hai
hamari be-hisi ne
hamare labon par KHamoshi ki mohr sabt kar rakhi hai
to ai ahl-e-dil
kal kya hoga
jab muafi mangne ka chalan
KHatm ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.