ghar se nikalte hī
merī piiTh se chipak jaatī haiñ do āñkheñ
galī paar karte karte biis āñkheñ
bas stop tak pahuñchte pahuñchte do sau āñkheñ
metro station kī sīḌhiyāñ chaḌhte chaḌhte do hazār āñkheñ
coach meñ apnī seat pakaḌte pakaḌte biis hazār āñkheñ
chipak jaatī haiñ mere puure badan se
aur maiñ dab jaatā huuñ hazāroñ āñkhoñ ke ek pyramid ke nīche
baḌī mushkil se ḳhud ko khaḌā karte hue
jhaTaktā huuñ maiñ apne sar aur donoñ hāthoñ ko
aur puure coach ke farsh par bikhar jaatī haiñ āñkheñ hī āñkheñ
ye chhoTī baḌī āñkhoñ kī chitkabrī machhliyāñ
apne tez nukīle Dañk liye baḌhtī haiñ merī taraf
aur maiñ bhāgtā huuñ musalsal pīchhe kī taraf
jaise sharp shōter ko dekh bhāgtā hai koī target
musalsal pīchhe kī taraf bhāgte hue maiñ māñgtā huuñ duā
āḳhirī coach kī dīvār tak pahuñchne se pahle
aa jaa.e koī station
khul jaa.e koī darvāza
aur maiñ jhaTke se kuud kar pā sakūñ najāt
magar station aane par
metro kā darvāza bhī ġhalat dishā meñ khul gayā hai
jidhar nazar kī had tak sirf ek lambā platform hai
jahāñ jagah jagah par chhoTī baḌī āñkheñ jaḌī huī haiñ
magar kuud jaane ke liye koī paTrī nahīñ hai
ghar se nikalte hi
meri piTh se chipak jati hain do aankhen
gali par karte karte bis aankhen
bas stop tak pahunchte pahunchte do sau aankhen
metro station ki siDhiyan chaDhte chaDhte do hazar aankhen
coach mein apni seat pakaDte pakaDte bis hazar aankhen
chipak jati hain mere pure badan se
aur main dab jata hun hazaron aankhon ke ek pyramid ke niche
baDi mushkil se KHud ko khaDa karte hue
jhaTakta hun main apne sar aur donon hathon ko
aur pure coach ke farsh par bikhar jati hain aankhen hi aankhen
ye chhoTi baDi aankhon ki chitkabri machhliyan
apne tez nukile Dank liye baDhti hain meri taraf
aur main bhagta hun musalsal pichhe ki taraf
jaise sharp shooter ko dekh bhagta hai koi target
musalsal pichhe ki taraf bhagte hue main mangta hun dua
aaKHiri coach ki diwar tak pahunchne se pahle
aa jae koi station
khul jae koi darwaza
aur main jhaTke se kud kar pa sakun najat
magar station aane par
metro ka darwaza bhi ghalat disha mein khul gaya hai
jidhar nazar ki had tak sirf ek lamba platform hai
jahan jagah jagah par chhoTi baDi aankhen jaDi hui hain
magar kud jaane ke liye koi paTri nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.