sud-o-ziyan
apne ḳhvāboñ ko jo ta.abīr nahīñ de paatā
jo badal saktā nahīñ un ko haqīqat meñ kabhī
vo yahāñ rāñda-e-dargāh Thahar jaatā hai
aise afrād ki jo
ḳhvāb kī ta.abīr pe hote haiñ musir
kaash bas itnī haqīqat hī se vāqif ho jaa.eñ
kam nahīñ ḳhvāb kī ta.abīr se kuchh qīmat-e-ḳhvāb
lazzat-e-ḳhvāb
apne KHwabon ko jo tabir nahin de pata
jo badal sakta nahin un ko haqiqat mein kabhi
wo yahan randa-e-dargah Thahar jata hai
aise afrad ki jo
KHwab ki tabir pe hote hain musir
kash bas itni haqiqat hi se waqif ho jaen
kam nahin KHwab ki tabir se kuchh qimat-e-KHwab
lazzat-e-KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.