sud-o-ziyan
zindagī ke dard-o-ġham se jāñ-ba-lab
āñsūoñ ko pī rahā huuñ roz-o-shab
dil kī hasrat thī ki ġham kī kaalī rātoñ meñ koī
chāñd ban kar mere āñgan meñ khile
par mirī rāhoñ ke saa.e ho ga.e tārīk-tar
luT ga.e sab zindagī ke ham-safar
ab laboñ kī sarhadoñ par
āh-o-nāla ke sivā kuchh bhī nahīñ
kuchh bhī nahīñ
sang-dil kitnā hai qasr-e-zindagī kā āstāñ
khā gayā mujh ko mohabbat kī zamīñ kā āsmāñ
ab nahīñ mere muqaddar meñ koī kirnoñ kā phuul
kis janam meñ ho ga.ī thī jaane mujh se koī bhuul
chhin gayā merī javānī se mohabbat kā surūr
ruk gayā mere sanam-ḳhāna meñ raqs-e-zindagī
ek muflis kī bhalā daulat se kaisī dostī
zindagī ai zindagī tū kis jahāñ meñ kho ga.ī
ham se nā-mānūs hai ab chāñd tāroñ kī ziyā
ham se nā-mānūs hai ab bāġh-e-ishrat kī fazā
ham se nā-mānūs haiñ pairoñ kī bojhal beḌiyāñ
ham salāsil kī har ik jhankār se vāqif to haiñ
ya.anī zanjīr-o-salīb-o-dār se vāqif to haiñ
ai shab-e-ġham ke charāġho ḳhūn-e-dil jalne to do
nange pairoñ tez kāñToñ par mujhe chalne to do
aag dene do mujhe ahd-e-kuhan kī laash ko
maiñ miTānā chāhtā huuñ har ġhalat parḳhāsh ko
ruuh par insāniyat kī daaġh ban kar hai ayaañ
sah rahā huuñ maiñ ka.ī sadiyoñ se kyoñ sūd-o-ziyāñ
ik zarā sī zindagī ke vāste
itnī sazā
itne tauq itnī salībeñ itne ġham itne sitam
lāla-o-gul ke diloñ meñ kuchh sunahre zaḳhm haiñ
mere siine meñ magar sadiyoñ se gahre zaḳhm haiñ
ik zarā sī zindagī ke vāste
zindagi ke dard-o-gham se jaan-ba-lab
aansuon ko pi raha hun roz-o-shab
dil ki hasrat thi ki gham ki kali raaton mein koi
chand ban kar mere aangan mein khile
par meri rahon ke sae ho gae tarik-tar
luT gae sab zindagi ke ham-safar
ab labon ki sarhadon par
aah-o-nala ke siwa kuchh bhi nahin
kuchh bhi nahin
sang-dil kitna hai qasr-e-zindagi ka aastan
kha gaya mujh ko mohabbat ki zamin ka aasman
ab nahin mere muqaddar mein koi kirnon ka phul
kis janam mein ho gai thi jaane mujh se koi bhul
chhin gaya meri jawani se mohabbat ka surur
ruk gaya mere sanam-KHana mein raqs-e-zindagi
ek muflis ki bhala daulat se kaisi dosti
zindagi ai zindagi tu kis jahan mein kho gai
hum se na-manus hai ab chand taron ki ziya
hum se na-manus hai ab bagh-e-ishrat ki faza
hum se na-manus hain pairon ki bojhal beDiyan
hum salasil ki har ek jhankar se waqif to hain
yani zanjir-o-salib-o-dar se waqif to hain
ai shab-e-gham ke charagho KHun-e-dil jalne to do
nange pairon tez kanTon par mujhe chalne to do
aag dene do mujhe ahd-e-kuhan ki lash ko
main miTana chahta hun har ghalat parKHash ko
ruh par insaniyat ki dagh ban kar hai ayan
sah raha hun main kai sadiyon se kyon sud-o-ziyan
ek zara si zindagi ke waste
itni saza
itne tauq itni saliben itne gham itne sitam
lala-o-gul ke dilon mein kuchh sunahre zaKHm hain
mere sine mein magar sadiyon se gahre zaKHm hain
ek zara si zindagi ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.