sui
chiiz agarche huuñ maiñ nannhī
lekin huuñ maiñ kaam kī kaisī
aaqā ko bhī merī zarūrat
naukar ko bhī merī hājat
koī jahāñ meñ ghar nahīñ aisā
jis meñ kaam nahīñ hai merā
haal sunātī huuñ maiñ apnā
kaan lagā kar saarā sunñā
miTTī meñ se lohā nikālā
lohe kā faulād banāyā
taar phir us faulād kā khīñchā
ho gayā vo tab dublā patlā
kar diyā us ko TukḌe TukḌe
ho ga.e jab vo TukḌe chhoTe
kal meñ in TukḌoñ ko Daalā
ban ga.ī jab maiñ sab ko nikālā
ek taraf ab nok hai bachcho
ek taraf hai naakā dekho
suuī jahāñ meñ ab kahlā.ī
kaam zamāne bhar ke aa.ī
kaam har ik ke tum bhī aanā
maano 'jauhar' kā farmānā
chiz agarche hun main nannhi
lekin hun main kaam ki kaisi
aaqa ko bhi meri zarurat
naukar ko bhi meri hajat
koi jahan mein ghar nahin aisa
jis mein kaam nahin hai mera
haal sunati hun main apna
kan laga kar sara sunna
miTTi mein se loha nikala
lohe ka faulad banaya
tar phir us faulad ka khincha
ho gaya wo tab dubla patla
kar diya us ko TukDe TukDe
ho gae jab wo TukDe chhoTe
kal mein in TukDon ko Dala
ban gai jab main sab ko nikala
ek taraf ab nok hai bachcho
ek taraf hai naka dekho
sui jahan mein ab kahlai
kaam zamane bhar ke aai
kaam har ek ke tum bhi aana
mano 'jauhar' ka farmana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.