sukhe honT
sūkhe hoñT jab pyaas kī zabān meñ baat karte haiñ
to ummīd kī shāḳh par aatī hai pahlī pattī
hotā hai
pahlī baar mohabbat sunñe jaisā ehsās
sūkhe hue hoñT
muskurāhaT meñ bādal kī tarah phaT jaate haiñ
tahas-nahas ho jaatā hai lafzoñ kā shahr
nahīñ sunā.ī detī jism kī pukār
apnā sā koī
phail jaatā hai āsmān se zamīn tak
chhūne kī ḳhvāhish os ban jaatī hai
milne kī ḳhvāhish dhuup
ehsās ke dariyā meñ bahtā rahtā hai insān
sūkhe hoñToñ ke saath bhī
zindagī ko tar kartā huā
sukhe honT jab pyas ki zaban mein baat karte hain
to ummid ki shaKH par aati hai pahli patti
hota hai
pahli bar mohabbat sunne jaisa ehsas
sukhe hue honT
muskurahaT mein baadal ki tarah phaT jate hain
tahas-nahas ho jata hai lafzon ka shahr
nahin sunai deti jism ki pukar
apna sa koi
phail jata hai aasman se zamin tak
chhune ki KHwahish os ban jati hai
milne ki KHwahish dhup
ehsas ke dariya mein bahta rahta hai insan
sukhe honTon ke sath bhi
zindagi ko tar karta hua
- Book : Ek Maheena Nazmon ka (Pg. 82)
- Author : Irshad Kamil
- Publication : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.