sukhe hue bele
tum ne sūkhe hue bele bhī kabhī sūñghe haiñ
in ko maslā na karo
kitnī āzurda magar bhīnī mahak dete haiñ
in ko pheñkā na karo
gard-ālūd bujhe chehroñ ko samjhā bhī karo
sirf dekhā na karo
haath ke chhāloñ kā gaTThoñ kā mudāvā bhī karo
sirf chheḌā na karo
tum ne sūkhe hue bele bhī kabhī sūñghe haiñ
tum ne sukhe hue bele bhi kabhi sunghe hain
in ko masla na karo
kitni aazurda magar bhini mahak dete hain
in ko phenka na karo
gard-alud bujhe chehron ko samjha bhi karo
sirf dekha na karo
hath ke chhaalon ka gaTThon ka mudawa bhi karo
sirf chheDa na karo
tum ne sukhe hue bele bhi kabhi sunghe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.