sukhe jazire ki dua
mahsūr huuñ paanī se maiñ
par tishnagī se chuur huuñ
merā vajūd ik jaam hai jām-e-tahī
ḳhandāñ haiñ jis ke chār-sū
mai se bhare miinā subū
pahlī kiran phūTī ki ik karb-e-nihāñ
jaag uThtā hai letā huā añgḌā.iyāñ
din jaise jaise hotā jaatā hai javāñ
jvālā-mukhī sā khaulne lagtā hai siine kā lahū
maiñ ik sulagtī aarzū maiñ ek taptī zindagī
pahnā-e-imkānāt meñ jaulāñ bagūloñ kī tarah
sar-gashta apne hī ḳhayāloñ ke hayūloñ kī tarah
ḳhanjar chalātī hai mire paikar pe bād-e-ātishīñ
maiñ ik gadā
shādābiyoñ ke chand TukḌoñ chand sikkoñ ke liye
dāman pasāre ruuh kā
leTā huuñ farsh-e-ḳhāk par kab se
mujhe ḳhud bhī nahīñ koī pata
naḳhloñ kī ThanDī chhāñv kā pyāsā huuñ maiñ
apne vajūd-e-ḳhushk kā huuñ nauha-ḳhvāñ
lekin mirī palkoñ pe aañsū tak nahīñ
ai bādalo bach-bach ke jaate bādalo
paanī na do aañsū to do
mahsur hun pani se main
par tishnagi se chur hun
mera wajud ek jam hai jam-e-tahi
KHandan hain jis ke chaar-su
mai se bhare mina subu
pahli kiran phuTi ki ek karb-e-nihan
jag uThta hai leta hua angDaiyan
din jaise jaise hota jata hai jawan
jwala-mukhi sa khaulne lagta hai sine ka lahu
main ek sulagti aarzu main ek tapti zindagi
pahna-e-imkanat mein jaulan bagulon ki tarah
sar-gashta apne hi KHayalon ke hayulon ki tarah
KHanjar chalati hai mere paikar pe baad-e-atishin
main ek gada
shadabiyon ke chand TukDon chand sikkon ke liye
daman pasare ruh ka
leTa hun farsh-e-KHak par kab se
mujhe KHud bhi nahin koi pata
naKHlon ki ThanDi chhanw ka pyasa hun main
apne wajud-e-KHushk ka hun nauha-KHwan
lekin meri palkon pe aansu tak nahin
ai baadalo bach-bach ke jate baadalo
pani na do aansu to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.