Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj humse Dar jaega

Ateeq Anzar

suraj humse Dar jaega

Ateeq Anzar

MORE BYAteeq Anzar

    habs hai itnā

    itnī ghuTan hai

    garmī shiddat hai itnī

    baḌe baḌe hālāt se lohā lene vaale yodhdhā

    sūraj ke ātañk se Dar kar

    apne apne gharoñ meñ yuuñ dubke baiThe haiñ

    jaise kisī billī se Dar kar

    chūhe biloñ meñ chhup jaate

    aisī shiddat garmī meñ

    jab bādal nanhā-munnā TukḌā koī

    sāmne sūraj ke aatā hai

    kaisā ThanDā ThanDā mausam ho jaatā hai

    bādal ke ik chhoTe se TukḌe se

    jab itnā māhaul badal saktā hai

    socho ham sab mil kar

    sūraj ke aage dīvār bane to kyā hogā

    sūraj ham se Dar jā.egā

    maare Dar ke

    kisī guphā meñ chhup jā.egā

    habs hai itna

    itni ghuTan hai

    garmi ki shiddat hai itni

    baDe baDe haalat se loha lene wale yodhdha

    suraj ke aatank se Dar kar

    apne apne gharon mein yun dubke baiThe hain

    jaise kisi billi se Dar kar

    chuhe bilon mein chhup jate

    aisi shiddat ki garmi mein

    jab baadal ka nanha-munna TukDa koi

    samne suraj ke aata hai

    kaisa ThanDa ThanDa mausam ho jata hai

    baadal ke ek chhoTe se TukDe se

    jab itna mahaul badal sakta hai

    socho hum sab mil kar

    suraj ke aage diwar bane to kya hoga

    suraj hum se Dar jaega

    mare Dar ke

    kisi gupha mein chhup jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now