suraj
har roz kī tarah din
aaj bhī
sūraj kī gavāhī le kar
āḳhir añdherī galiyoñ meñ ghus aayā
aur ham
apne apne ghar ke nayāydhīsh
sūraj kī gavāhī ke aadī ho chuke haiñ
sach maan lete haiñ aur yuuñ
kahīñ na kahīñ apne hī bikhrāo meñ
sājhī ho chuke haiñ
hameñ us sūraj kī gavāhī nahīñ chāhiye
jo kisī peshevar gavāh kī tarah
din kī partīt karāne
piile chehroñ par
kachche gharoñ ke āñgan meñ
karunā kā biij ban ugnā chāhtā hai
nahīñ chāhiye hameñ
us sūraj kī gavāhī jo har baar
nayā svāñg bhar
sub.h se shaam tak Tokre Dhone vaale
jīvant chehroñ kā mukhauTā lagā kar
oḌhī huī nāgriktā meñ nahā kar
vo sūraj ab ThanDā paḌ chukā hai
aur ab
hamāre hī antar se sulagnā chāhtā hai
ham sūraj ko
apne laal tave ke uupar
paktā huā dekhnā chāhte haiñ
sūraj nahīñ hai kisī kī bapautī
har bastī kī ummīd hai vo
goyā har haath kī roTī
har roz ki tarah din
aaj bhi
suraj ki gawahi le kar
aaKHir andheri galiyon mein ghus aaya
aur hum
apne apne ghar ke nayaydhish
suraj ki gawahi ke aadi ho chuke hain
sach man lete hain aur yun
kahin na kahin apne hi bikhrao mein
sajhi ho chuke hain
hamein us suraj ki gawahi nahin chahiye
jo kisi peshewar gawah ki tarah
din ki partit karane
pile chehron par
kachche gharon ke aangan mein
karuna ka bij ban ugna chahta hai
nahin chahiye hamein
us suraj ki gawahi jo har bar
naya swang bhar
subh se sham tak Tokre Dhone wale
jiwant chehron ka mukhauTa laga kar
oDhi hui nagrikta mein naha kar
wo suraj ab ThanDa paD chuka hai
aur ab
hamare hi antar se sulagna chahta hai
hum suraj ko
apne lal tawe ke upar
pakta hua dekhna chahte hain
suraj nahin hai kisi ki bapauti
har basti ki ummid hai wo
goya har hath ki roTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.