suraj ka shahkar
dhartī nāche taklī ban kar
sūraj apnī jagah pe baiThā
vāyū-manDal ke resham se
gāloñ jaise narm mulā.im
bāloñ se bārīk
rang-birange dhāge kaate
phir dhāgoñ ko piro piro kar
sūraj buntā jaa.e chādar
rang-birangī chādar
kaalī chādar ban kar us meñ Tāñke chāñd sitāre
ujlī chādar meñ pighlī chāñdī kī chamak jagā.e
aur sunahrī chādar par sone kī parat chaḌhā.e
jab kaalī chādar phailā.e saje suhānī shaam
ujlī chādar lahrā.e to ho pūnam kī raat
aur sunahrī chādar hañstā-gātā din dikhlā.e
vo din jis kī muTThī meñ hai
raunaq chahal pahal
vo din jis kī aahaT meñ hai
chiḌiyoñ kī chahkār
vo din jis kī sāñsoñ meñ hai
phūloñ kī mahkār
añdhiyāre meñ Duube jag ko jo kar de tābinda
vo din jo murdoñ ko phir se kar detā hai zinda
sūraj baiThā baiThā apnā kyā kyā hunar dikhā.e
jitnā us ke hunar ko dekho hairat baḌhtī jaa.e
kabhī dikhā.e shafaq kī laalī
kabhī ghaTā.eñ kaalī
ik satrangī sī chādar hai sūraj kā shahkār
jis kī ek jhalak se phūTe dhanak dhanak har-bār
dharti nache takli ban kar
suraj apni jagah pe baiTha
wayu-manDal ke resham se
galon jaise narm mulaim
baalon se barik
rang-birange dhage kate
phir dhagon ko piro piro kar
suraj bunta jae chadar
rang-birangi chadar
kali chadar ban kar us mein Tanke chand sitare
ujli chadar mein pighli chandi ki chamak jagae
aur sunahri chadar par sone ki parat chaDhae
jab kali chadar phailae saje suhani sham
ujli chadar lahrae to ho punam ki raat
aur sunahri chadar hansta-gata din dikhlae
wo din jis ki muTThi mein hai
raunaq chahal pahal
wo din jis ki aahaT mein hai
chiDiyon ki chahkar
wo din jis ki sanson mein hai
phulon ki mahkar
andhiyare mein Dube jag ko jo kar de tabinda
wo din jo murdon ko phir se kar deta hai zinda
suraj baiTha baiTha apna kya kya hunar dikhae
jitna us ke hunar ko dekho hairat baDhti jae
kabhi dikhae shafaq ki lali
kabhi ghaTaen kali
ek satrangi si chadar hai suraj ka shahkar
jis ki ek jhalak se phuTe dhanak dhanak har-bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.