suraj ki bimari
to aao chaleñ ab ghar chalte haiñ
din kī thakan ab shaam huī hai
sūraj ko apne gahvāre meñ so jaane do
vo bahut thakā huā hai
sūraj kī bīmārī ne ham sab ko thakā diyā hai
kyā jaane kal kyā hogā
kal to andeshe ko kahte haiñ
dekho ham kitne andeshoñ se guzre haiñ aur zinda haiñ
us ne kahā thā zinda raho
aThārah baras
aThārah baras jo niiñd kī sāñseñ ban kar guzar ga.e
aur ab jaltī āñkhoñ kī bedārī vo hāsil hai
jo lā-hāsil hai
maiñ apnī saarī nīñdeñ bhuul gayā huuñ
ham sab apne ḳhvāboñ kā saudā kar ke jiinā bhuul chuke haiñ
us ne kahā thā zinda raho
jaise zinda rahnā mere bas meñ hai
vo sachchī thī lekin maiñ ne us ko jhūTā samjhā thā
Thahro mujh ko darvāza kholne do
ghar kī dīvāroñ par vīrānī hai
maiñ aaj tumhāre saath sahar tak jāgūñgā
donoñ khā kar gappeñ hāñkeñge
merī mez pe
fāqa-kash ummīdeñ
vo rūkhī-sūkhī khātī haiñ
jo māyūsī se bach jaatī haiñ
mere bistar par be-ḳhvābī karvaTeñ letī hai
us ne kahā thā zinda raho
kyā zinda rahnā mere bas meñ hai
maiñ to sāñseñ gin gin kar
apnī gum-gashta ummīdoñ ko
note-bōkoñ maiñ likhtā huuñ
to aao chalen ab ghar chalte hain
din ki thakan ab sham hui hai
suraj ko apne gahware mein so jaane do
wo bahut thaka hua hai
suraj ki bimari ne hum sab ko thaka diya hai
kya jaane kal kya hoga
kal to andeshe ko kahte hain
dekho hum kitne andeshon se guzre hain aur zinda hain
us ne kaha tha zinda raho
aThaarah baras
aThaarah baras jo nind ki sansen ban kar guzar gae
aur ab jalti aankhon ki bedari wo hasil hai
jo la-hasil hai
main apni sari ninden bhul gaya hun
hum sab apne KHwabon ka sauda kar ke jina bhul chuke hain
us ne kaha tha zinda raho
jaise zinda rahna mere bas mein hai
wo sachchi thi lekin main ne us ko jhuTa samjha tha
Thahro mujh ko darwaza kholne do
ghar ki diwaron par virani hai
main aaj tumhaare sath sahar tak jagunga
donon kha kar gappen hankenge
meri mez pe
faqa-kash ummiden
wo rukhi-sukhi khati hain
jo mayusi se bach jati hain
mere bistar par be-KHwabi karwaTen leti hai
us ne kaha tha zinda raho
kya zinda rahna mere bas mein hai
main to sansen gin gin kar
apni gum-gashta ummidon ko
note-bookon main likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.