suraj ki pahli kiran
Interesting Fact
(Seep, Karachi, Volume 26, May-June 1973)
sun ai havā-e-be-dilī
abhī to chashm-e-tar meñ un kī sūrateñ
ravāñ-davāñ haiñ jin ke saañs kī mahak
meñ jā chukī bahār kā nikhār hai
ki jin ke ḳhvāb kī chamak palak palak
bikhartī aarzū meñ pā.edār hai
abhī to un kī ḳhaak ko zamīn bhī nahīñ milī
sun ai havā-e-be-dilī
agarche is dayār meñ har-ek-sū
ka.ī rutoñ kī gum-shuda bahār kā fishār hai
ġhubār-e-intizār hai
magar ye zard ghāTiyāñ ye kārvān-e-be-nishāñ
safar kī intihā nahīñ
dhuāñ dhuāñ haiñ jism-o-jāñ magar zabāñ hai gul-fishāñ
ki dil abhī mirā nahīñ
nazar meñ hai vo fasl-e-gul jo ab talak nahīñ khilī
sun ai havā-e-be-dilī
hameñ usī zamīn se rifāqat-e-yaqīn hai
milegī kisht-e-ārzū
ki raushnī kī justujū meñ raushnī kā raaz hai
hamāre ird-gird kī har ek shai savāl hai
un uñgliyoñ kī por por sāhab-e-kamāl hai
alvidā.a alvidā.a ai be-dilī
ki ye hamārī dostī kā nuqta-e-zavāl hai
sun ai hawa-e-be-dili
abhi to chashm-e-tar mein un ki suraten
rawan-dawan hain jin ke sans ki mahak
mein ja chuki bahaar ka nikhaar hai
ki jin ke KHwab ki chamak palak palak
bikharti aarzu mein paedar hai
abhi to un ki KHak ko zamin bhi nahin mili
sun ai hawa-e-be-dili
agarche is dayar mein har-ek-su
kai ruton ki gum-shuda bahaar ka fishaar hai
ghubar-e-intizar hai
magar ye zard ghaTiyan ye karwan-e-be-nishan
safar ki intiha nahin
dhuan dhuan hain jism-o-jaan magar zaban hai gul-fishan
ki dil abhi mera nahin
nazar mein hai wo fasl-e-gul jo ab talak nahin khili
sun ai hawa-e-be-dili
hamein usi zamin se rifaqat-e-yaqin hai
milegi kisht-e-arzu
ki raushni ki justuju mein raushni ka raaz hai
hamare ird-gird ki har ek shai sawal hai
un ungliyon ki por por sahab-e-kamal hai
alwidaa alwidaa ai be-dili
ki ye hamari dosti ka nuqta-e-zawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.