suraj ki salib
siyah rang chādar tanī raat kī
jis pe
tāroñ ke paivand ke aa.ine
jagmagā.e
masā.ib se āzād lamhoñ meñ vo
aur maiñ
donoñ ik dūsre se mile
muskurā.e
muhīb aur kaale shajar
dūdhiyā rang chādar meñ lipTe hue
bā-adab
lā.inoñ meñ khaḌe
ham jidhar chal paḌe
rāste jhilmilā.e
magar manzileñ
aur na koī pata manziloñ kā kahīñ
surma.ī rāste
aaj phir ḳhatm par aa ga.e
chāñdnī jaise dhīmī paḌī
aur zardā ga.ī
shab ne apne paroñ ko sameTā
phisalte hue ḳhvāb
andhī guphāoñ kī jānib baḌhe
aur phir
za.afarāñ rang kohre meñ
ik salīb-e-siyah kī tarah
jab vo ḳhurshīd ubhrā
to maiñ us pe maslūb thā
siyah rang chadar tani raat ki
jis pe
taron ke paiwand ke aaine
jagmagae
masaib se aazad lamhon mein wo
aur main
donon ek dusre se mile
muskurae
muhib aur kale shajar
dudhiya rang chadar mein lipTe hue
ba-adab
lainon mein khaDe
hum jidhar chal paDe
raste jhilmilae
magar manzilen
aur na koi pata manzilon ka kahin
surmai raste
aaj phir KHatm par aa gae
chandni jaise dhimi paDi
aur zarda gai
shab ne apne paron ko sameTa
phisalte hue KHwab
andhi guphaon ki jaanib baDhe
aur phir
zafaran rang kohre mein
ek salib-e-siyah ki tarah
jab wo KHurshid ubhra
to main us pe maslub tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.