Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj se aage ek jangal hai

Qamar Jameel

suraj se aage ek jangal hai

Qamar Jameel

MORE BYQamar Jameel

    sūraj se aage ik jañgal hai

    maiñ is jañgal diyā huuñ

    chāñd se aage merā ghar hai

    maiñ is ghar diyā huuñ

    sūraj se aage ik jañgal hai

    maiñ is jañgal diyā huuñ

    maiñ kyā jānūñ

    kis jañgal meñ merā ghar hai

    soī huī chiḌiyā se pūchho

    raat kitnī ghaḌiyāñ

    baaqī haiñ

    maiñ kyā jānūñ

    kis jañgal meñ merā ghar hai

    sūraj se aage ik jañgal hai

    maiñ is jañgal diyā huuñ

    suraj se aage ek jangal hai

    main is jangal ka diya hun

    chand se aage mera ghar hai

    main is ghar ka diya hun

    suraj se aage ek jangal hai

    main is jangal ka diya hun

    main kya jaanun

    kis jangal mein mera ghar hai

    soi hui chiDiya se puchho

    raat ki kitni ghaDiyan

    baqi hain

    main kya jaanun

    kis jangal mein mera ghar hai

    suraj se aage ek jangal hai

    main is jangal ka diya hun

    Source :
    • Book : chahaar khvaab (Pg. 61)
    • Author : qamar jameel
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now