suraj se do do baaten
raat sidhārī sūraj aaya
kirnoñ kā ik lashkar laayā
sote sote ḳhilqat jaagī
shab kī syāhī Dar kar bhāgī
jalvoñ kī ik nahr bahā dī
duniyā meñ ik dhuum machā dī
ġhaflat kā sab daftar ulTā
raat ne apnā bistar ulTā
baḌh ke shafaq ne parcham kholā
zarra zarra hañs kar bolā
ai duniyā ke pyāre sūraj
ai āñkhoñ ke taare sūraj
saare jag meñ naam hai terā
kaisā achchhā kaam hai terā
khetoñ meñ haiñ biij ugaa.e
kachche phal bāġhoñ meñ pakā.e
jāḌoñ meñ tū kaam hai aatā
sardī se hai sab ko bachātā
tere dam se bādal aa.e
chhājoñ paanī bhar bhar laa.e
phuul khile hariyālī chhā.ī
tū ne sab kī pyaas bujhā.ī
tū na agar har roz nikaltā
kaam jahāñ kā kaise chaltā
kartā hai tū sab se bhalā.ī
kyā kahnā hai terā bhaa.ī
jab se maiñ ne hosh sañbhālā
dekhā sab meñ terā ujālā
din-bhar dhartī chamkātā hai
raat ko tū kyoñ chhup jaatā hai
ye sab sun kar sūraj bolā
bhed apnā zarroñ par kholā
kahā suno ab batlātā huuñ
raat ko maiñ kyoñ chhup jaatā huuñ
log haiñ din-bhar mehnat karte
miTTī Dhote paanī bharte
khetī karte Dhor charāte
paḌhte likhte daftar jaate
kaam kisī kā hai mazdūrī
mehnat kar ke puurī puurī
saare din ke kaam ke maare
thak jaate haiñ sab bechāre
dekh ke un kī utrī sūrat
uḌ jaatī hai merī rangat
rahm hai mujh ko un par aatā
bas jhaT-paT huuñ maiñ chhup jaatā
chhup jaatā hai muñh jab merā
chhā jaatā hai phir to añdherā
chhoḌ ke apne kaam ko saare
so jaate haiñ paañv pasāre
raat sidhaari suraj aaya
kirnon ka ek lashkar laya
sote sote KHilqat jagi
shab ki syahi Dar kar bhagi
jalwon ki ek nahr baha di
duniya mein ek dhum macha di
ghaflat ka sab daftar ulTa
raat ne apna bistar ulTa
baDh ke shafaq ne parcham khola
zarra zarra hans kar bola
ai duniya ke pyare suraj
ai aankhon ke tare suraj
sare jag mein nam hai tera
kaisa achchha kaam hai tera
kheton mein hain bij ugae
kachche phal baghon mein pakae
jaDon mein tu kaam hai aata
sardi se hai sab ko bachata
tere dam se baadal aae
chhajon pani bhar bhar lae
phul khile hariyali chhai
tu ne sab ki pyas bujhai
tu na agar har roz nikalta
kaam jahan ka kaise chalta
karta hai tu sab se bhalai
kya kahna hai tera bhai
jab se main ne hosh sanbhaala
dekha sab mein tera ujala
din-bhar dharti chamkata hai
raat ko tu kyon chhup jata hai
ye sab sun kar suraj bola
bhed apna zarron par khola
kaha suno ab batlata hun
raat ko main kyon chhup jata hun
log hain din-bhar mehnat karte
miTTi Dhote pani bharte
kheti karte Dhor charaate
paDhte likhte daftar jate
kaam kisi ka hai mazduri
mehnat kar ke puri puri
sare din ke kaam ke mare
thak jate hain sab bechaare
dekh ke un ki utri surat
uD jati hai meri rangat
rahm hai mujh ko un par aata
bas jhaT-paT hun main chhup jata
chhup jata hai munh jab mera
chha jata hai phir to andhera
chhoD ke apne kaam ko sare
so jate hain panw pasare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.