suraj ubal paDenge
kiran ko tum kis tarah añdheroñ kī chādaroñ meñ lapeT doge
kiran to phūTegī
aur añdhere kī chādareñ tār-tār hoñgī
lahū bahegā
to raat Dhal jā.egī
kisī kī jabīñ se sūraj ubal paḌeñge
(2)
nidā ye aa.ī
ki kaj-kulāhoñ ke taaj chhīno
ye taḳht tārāj kar ke chhoḌo
in ūñche mahloñ ko ḳhaak kar do
ye masnadeñ sab ukhāḌ pheñko
ye gurz-e-āhan
jo tum pe paiham baras rahā hai
uTho
baḌho
baḌh ke gurz-e-āhan ko apne haath meñ thaam lo
ye asā-e-mūsā banegā
zulm-o-sitam ke phaniyar sapoliyoñ ko nigal hī legā
udaas chehre ḳhushī se yuuñ tamtamā.e
jaise bahār ke ḳhvāb jaag uTThe
chahār-sū ek shor-e-labbaik uTh rahā thā
jo kal talak ek be-basoñ kā hujūm thā
aaj jo jarrār lashkar-e-pur-shikoh ban kar baḌhā
to sab tājvar sabhī kaj-kulāh sab shahryār
barg-e-ḳhizāñ kī mānind ḳhaak meñ mil ga.e
faqat ik galīm-poshoñ kā ḳhuun thā
jo sadā.eñ detā rahā
bahāroñ ke qāfiloñ ko
vo masnadeñ taḳht-o-tāj ūñche mahal to qaa.em rahe
na.e kaj-kulāh aa.e
galīm-poshoñ kā lashkar-e-pur-shikoh phir ik hujūm ban kar bikhar gayā
ḳhvāb TuuT kar phir ḳhizāñ ke pattoñ kī tarah
miTTī meñ mil ga.e
phir vo gurz-e-āhan thā
taḳht-o-tāj-e-shahī kā zāmin
(3)
asā-e-mūsā ko kaun rokegā
zulm-o-ġhārat-garī ke phaniyar sapoliye
kab tak Daseñge
kabhī to hāthoñ se nuur phūTegā
aur zulmat-kadoñ meñ sūraj ubal paḌeñge
kiran ko tum kis tarah andheron ki chadaron mein lapeT doge
kiran to phuTegi
aur andhere ki chadaren tar-tar hongi
lahu bahega
to raat Dhal jaegi
kisi ki jabin se suraj ubal paDenge
(2)
nida ye aai
ki kaj-kulahon ke taj chhino
ye taKHt taraj kar ke chhoDo
in unche mahlon ko KHak kar do
ye masnaden sab ukhaD phenko
ye gurz-e-ahan
jo tum pe paiham baras raha hai
uTho
baDho
baDh ke gurz-e-ahan ko apne hath mein tham lo
ye asa-e-musa banega
zulm-o-sitam ke phaniyar sapoliyon ko nigal hi lega
udas chehre KHushi se yun tamtamae
jaise bahaar ke KHwab jag uTThe
chahaar-su ek shor-e-labbaik uTh raha tha
jo kal talak ek be-bason ka hujum tha
aaj jo jarrar lashkar-e-pur-shikoh ban kar baDha
to sab tajwar sabhi kaj-kulah sab shahryar
barg-e-KHizan ki manind KHak mein mil gae
faqat ek galim-poshon ka KHun tha
jo sadaen deta raha
bahaaron ke qafilon ko
wo masnaden taKHt-o-taj unche mahal to qaem rahe
nae kaj-kulah aae
galim-poshon ka lashkar-e-pur-shikoh phir ek hujum ban kar bikhar gaya
KHwab TuT kar phir KHizan ke patton ki tarah
miTTi mein mil gae
phir wo gurz-e-ahan tha
taKHt-o-taj-e-shahi ka zamin
(3)
asa-e-musa ko kaun rokega
zulm-o-ghaarat-gari ke phaniyar sapoliye
kab tak Dasenge
kabhi to hathon se nur phuTega
aur zulmat-kadon mein suraj ubal paDenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.