surat ka chauTa bazar
yahāñ har shaam
gulāboñ ke shādāb paude
gamloñ se nikal kar
paañv paañv aate haiñ
apnī apnī pasand ke phuul ḳharīdte haiñ
aur ḳhālī Tahniyoñ par Taañk lete haiñ
phūloñ ke is chalte-phirte bāġhīche meñ
mujh jaise kuchh pāgal panchhī
ḳhushbūoñ ke do pal jī kar
raat ga.e tak marte haiñ
yahan har sham
gulabon ke shadab paude
gamlon se nikal kar
panw panw aate hain
apni apni pasand ke phul KHaridte hain
aur KHali Tahniyon par Tank lete hain
phulon ke is chalte-phirte baghiche mein
mujh jaise kuchh pagal panchhi
KHushbuon ke do pal ji kar
raat gae tak marte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.