swagat
koī āvāz jab bhī sansanātī hai
kabhī sunsān rātoñ meñ
to ye ehsās hotā hai ki jaise yak-ba-yak aa kar
havā kā tez jhoñkā mere darvāze kī kunDī
khaTkhaTātā hai
magar paT kholtā huuñ jab
mirī mahrūmiyāñ hāthoñ ko phailā.e
svāgat merā kartī haiñ
koi aawaz jab bhi sansanati hai
kabhi sunsan raaton mein
to ye ehsas hota hai ki jaise yak-ba-yak aa kar
hawa ka tez jhonka mere darwaze ki kunDi
khaTkhaTata hai
magar paT kholta hun jab
meri mahrumiyan hathon ko phailae
swagat mera karti hain
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 22)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.