taaruf
nahīñ mumkin miTānā mujh ko misl-e-naqsh-e-pā yaaro
ḳhalāoñ meñ rahūñgā gūñjtā ban kar sadā yaaro
na nā’ra inqalāb-e-nau kā na ġhaibī nidā yaaro
faqat huuñ ik dil-e-sad-chāk se niklī sadā yaaro
nahīñ hai vāsta kuchh bhī mujhe masnad-nashīnoñ se
maiñ huuñ bas be-navāoñ kī navā-e-gum-shuda yaaro
nahīñ bhātī mujhe hargiz riyā-kārī zamāne kī
'ajab kyā jo huuñ duniyā kī nazar meñ kaj-adā yaaro
samajhtā ḳhuub huuñ maiñ farq jo juzv aur kul meñ hai
kahūñ mansūr ke mānind kyoñ ḳhud ko ḳhudā yaaro
faqat taqlīd hī kyoñ tajrabe bhī kuchh kiye jaa.eñ
kareñ aao na.e daur-e-suḳhan kī ibtidā yaaro
mujhe kahnā hai jo kuchh bhī mire ash'ār kahte haiñ
nahīñ kahne ko mere paas kuchh in ke sivā yaaro
gunāhoñ kī mire fehrist lambī hotī jaatī hai
hazāroñ baar tauba kī na chhūTā mai-kada yaaro
kiyā hai tai suḳhan kā ye safar maiñ ne akele hī
na koī ham-safar merā na koī rahnumā yaaro
mirā fan ḳhaam hai tāham tumhāre dil ko chhū legā
mire har she'r par tum bol uThoge marhabā yaaro
nahin mumkin miTana mujh ko misl-e-naqsh-e-pa yaro
KHalaon mein rahunga gunjta ban kar sada yaro
na na’ra inqalab-e-nau ka na ghaibi nida yaro
faqat hun ek dil-e-sad-chaak se nikli sada yaro
nahin hai wasta kuchh bhi mujhe masnad-nashinon se
main hun bas be-nawaon ki nawa-e-gum-shuda yaro
nahin bhati mujhe hargiz riya-kari zamane ki
'ajab kya jo hun duniya ki nazar mein kaj-ada yaro
samajhta KHub hun main farq jo juzw aur kul mein hai
kahun mansur ke manind kyon KHud ko KHuda yaro
faqat taqlid hi kyon tajrabe bhi kuchh kiye jaen
karen aao nae daur-e-suKHan ki ibtida yaro
mujhe kahna hai jo kuchh bhi mere ash'ar kahte hain
nahin kahne ko mere pas kuchh in ke siwa yaro
gunahon ki mere fehrist lambi hoti jati hai
hazaron bar tauba ki na chhuTa mai-kada yaro
kiya hai tai suKHan ka ye safar main ne akele hi
na koi ham-safar mera na koi rahnuma yaro
mera fan KHam hai taham tumhaare dil ko chhu lega
mere har she'r par tum bol uThoge marhaba yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.