Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taaqub

Farooq muztar

taaqub

Farooq muztar

MORE BYFarooq muztar

    shab-o-roz

    jaane mujhe kyuuñ ye ehsās hai

    koī mere ta.āqub meñ baḌhtā chalā aa rahā hai

    maiñ ḳhud in bhārī qadmoñ āvāz ke bojh

    se dab rahā huuñ

    ki maiñ apne dast-o-bāzū meñ ab lamha lamha simaTne lagā huuñ!

    maiñ ab ḳhud meñ zarra zarra bikharne lagā huuñ!

    meñ ab apnī hamsā.egī se bhī Darne lagā huuñ!

    meñ shāyad! ḳhud apnī sadā ke ta.āqub meñ chalne lagā huuñ

    ki

    tashkīk aur lā-yaqīnī

    ke dhuñdle manāzir liye aañkh meñ

    aap apne lahū ke dahakte jahannam meñ

    jalne lagā huuñ!

    mire hāfize meñ ta.āqub koī bhayānak kahānī hai

    mahfūz shāyad!

    shab-o-roz

    jaane mujhe kyun ye ehsas hai

    koi mere taaqub mein baDhta chala aa raha hai

    main KHud hi in bhaari qadmon ki aawaz ke bojh

    se dab raha hun

    ki main apne hi dast-o-bazu mein ab lamha lamha simaTne laga hun!

    main ab KHud hi mein zarra zarra bikharne laga hun!

    mein ab apni hamsaegi se bhi Darne laga hun!

    mein shayad! KHud apni sada ke taaqub mein chalne laga hun

    ki

    tashkik aur la-yaqini

    ke dhundle manazir liye aankh mein

    aap apne lahu ke dahakte jahannam mein

    jalne laga hun!

    mere hafize mein taaqub ki koi bhayanak kahani hai

    mahfuz shayad!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now