taaruf
in se miliye ye haiñ aslam gaamā ke ustād haiñ
daarā singh aur bholū ke bhī daao sab in ko yaad haiñ
maktab aur mohalle meñ ye har bachche se laḌte haiñ
jis se ḳhafagī ho jaatī hai us par ḳhuub bigaḌte haiñ
in se sab Darte haiñ jaise ye bijlī kā taar haiñ
in se sab bezār haiñ
in se miliye bhuul bhulakkaḌ log sab in ko kahte haiñ
aadat se majbūr bichāre kho.e kho.e rahte haiñ
paise saudā taḳhtī basta ye jo kuchh bhī paate haiñ
maktab meñ bāzār meñ yā raste meñ gum kar aate haiñ
lekin da.avā ye karte haiñ ham sab se hoshyār haiñ
in se sab bezār haiñ
in se miliye raam bharose jaise filmī hero haiñ
sālāna exam meñ in ke har parche meñ zero haiñ
lekin kitnī hī filmoñ kī inheñ kahānī yaad hai
is nagrī kā har qissa har baat zabānī yaad hai
raam bharose nahīñ ye filmī duniyā kā aḳhbār haiñ
in se sab bezār haiñ
in se miliye ye hain aslam gama ke ustad hain
dara singh aur bholu ke bhi dao sab in ko yaad hain
maktab aur mohalle mein ye har bachche se laDte hain
jis se KHafagi ho jati hai us par KHub bigaDte hain
in se sab Darte hain jaise ye bijli ka tar hain
in se sab bezar hain
in se miliye bhul bhulakkaD log sab in ko kahte hain
aadat se majbur bichaare khoe khoe rahte hain
paise sauda taKHti basta ye jo kuchh bhi pate hain
maktab mein bazar mein ya raste mein gum kar aate hain
lekin dawa ye karte hain hum sab se hoshyar hain
in se sab bezar hain
in se miliye ram bharose jaise filmi hero hain
salana exam mein in ke har parche mein zero hain
lekin kitni hi filmon ki inhen kahani yaad hai
is nagri ka har qissa har baat zabani yaad hai
ram bharose nahin ye filmi duniya ka aKHbar hain
in se sab bezar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.