taaruf
maiñ ek korā kāġhaz
jis par har do nasloñ ne apnī kahānī likhī
yā ek daraḳht
jis ke saaya meñ baiThe logoñ ne
us ke pattoñ ko nochā
kabhī na sochā
saaya dene vaale ko bhī saaya achchhā lagtā hogā
maiñ ek koyal
jo āvāz kā jaadū bāñTe
yā phir bādal
jo binā tafrīq kiye baras jaa.e
yā phir pāgal
jo kuchh na samjhe
jis ke zehn meñ ek ḳhazāna aur dil ḳhālī
jis kā badan hai būḌhā aur dil bachcha
jis ke paas na dhan na daulat
na hī nadāmat
kyūñki maiñ haath huuñ dene vaalā
maiñ phailā haath nahīñ huuñ
main ek kora kaghaz
jis par har do naslon ne apni kahani likhi
ya ek daraKHt
jis ke saya mein baiThe logon ne
us ke patton ko nocha
kabhi na socha
saya dene wale ko bhi saya achchha lagta hoga
main ek koyal
jo aawaz ka jadu banTe
ya phir baadal
jo bina tafriq kiye baras jae
ya phir pagal
jo kuchh na samjhe
jis ke zehn mein ek KHazana aur dil KHali
jis ka badan hai buDha aur dil bachcha
jis ke pas na dhan na daulat
na hi nadamat
kyunki main hath hun dene wala
main phaila hath nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.