taaruf
mire daadā jo british fauj ke naamī bhagoḌe the
na jaane kitnī jailoñ ke unhoñ ne qufl toḌe the
charas kā aur gāñje kā vo kārobār karte the
ḳhudā se bhī nahīñ Darte the bas begam se Darte the
mire taa.e bhī apne vaqt ke mash.hūr cheater the
ka.ī jailoñ ke to vo half-yearly bhī visitor the
har ik ġhunda unheñ ghar baiThe ġhunda-tex detā thā
tijorī toḌne kā fan unhīñ se maiñ ne sīkhā thā
chachā marhūm nāsik jail se jab vāpas aa.e the
to mash.hūr-e-zamāna ik tavā.if saath laa.e the
vo Thumrī dādrā aur bhairvīñ meñ baat kartī thī
tarannum meñ surayyā aur latā ko maat kartī thī
mire vālid ḳhudā baḳhshe kahīñ aate na jaate the
sahar se shaam tak amaañ ke aage dum hilāte the
thī ik bakre numā burrāq dāḌhī un ke chehre par
magar phir bhī kabaDDī khelte the raat ko aksar
maiñ apne baap daadā ke hī naqsh-e-pā pe chaltā huuñ
magar bas farq itnā hai vo ġhunDe the maiñ netā huuñ
police pīchhe thī un ke third-degrē kī ziyāfat ko
mire pīchhe bhī rahtī hai magar merī hifāzat ko
nahīñ parvā ki leader kaun achchhā kaun ganda hai
siyāsat merī rozī hai election merā dhanda hai
siyāsat meñ qadam rakh kar haqīqat maiñ ne ye jaanī
churā kaare kunad aaqil ki baaz aayad pashemānī
mere dada jo british fauj ke nami bhagoDe the
na jaane kitni jailon ke unhon ne qufl toDe the
charas ka aur ganje ka wo karobar karte the
KHuda se bhi nahin Darte the bas begam se Darte the
mere tae bhi apne waqt ke mashhur cheater the
kai jailon ke to wo half-yearly bhi wisitor the
har ek ghunda unhen ghar baiThe ghunda-tex deta tha
tijori toDne ka fan unhin se main ne sikha tha
chacha marhum nasik jail se jab wapas aae the
to mashhur-e-zamana ek tawaif sath lae the
wo Thumri dadra aur bhairwin mein baat karti thi
tarannum mein surayya aur lata ko mat karti thi
mere walid KHuda baKHshe kahin aate na jate the
sahar se sham tak aman ke aage dum hilate the
thi ek bakre numa burraq daDhi un ke chehre par
magar phir bhi kabaDDi khelte the raat ko aksar
main apne bap dada ke hi naqsh-e-pa pe chalta hun
magar bas farq itna hai wo ghunDe the main neta hun
police pichhe thi un ke third-degree ki ziyafat ko
mere pichhe bhi rahti hai magar meri hifazat ko
nahin parwa ki leader kaun achchha kaun ganda hai
siyasat meri rozi hai election mera dhanda hai
siyasat mein qadam rakh kar haqiqat main ne ye jaani
chura kare kunad aaqil ki baz aayad pashemani
- Book : Post Martum (Pg. 73)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.