tabir
an-ginat kahkashāoñ ke jhurmuT ne be-intihā dā.ere bun diye
aur pātāl meñ jazb rañgoñ ne ugle ka.ī halhale
apne tābūt meñ ḳhud se haibat-zada jabr kī zindagānī meñ jiitā rahā
yuuñ jamāl-e-sahar zard sūraj ke hāthoñ meñ girvī rahā
kasmasāte badan ke junūbī taraf tāziyānoñ kī barsāt jaarī rahī aur shumālī taraf sañg-bārī se udhḌī huī khaal par
zindagī kī ye tamsīl likkhī ga.ī maiñ to bas vaqt kī jail meñ qaid thā
aur tasavvur meñ thī lahlahātī huī ḳhushnumā zindagī
ya.anī shandūr kī bhurnhurī ghaas pe baiTh ke match polo ke dekhā karūñ
aur qahva kī chuskī lagāte hoī sartre ko paḌhūñ
qahqahoñ ke tamavvuj meñ raqsāñ raheñ nutq-e-taḳhlīq ke be-karāñ zamzame
par tasavvur to āḳhir tasavvur hī hai
dam-ba-dam phailte raqs karte ḳhayālāt ke silsile saath chalte hue yak-ba-yak ruk ga.e
chār-sū goyā phir ek dīvār thī
saañs lene kī koshish bhī be-kār thī
an-ginat kahkashaon ke jhurmuT ne be-intiha daere bun diye
aur patal mein jazb rangon ne ugle kai halhale
apne tabut mein KHud se haibat-zada jabr ki zindagani mein jita raha
yun jamal-e-sahar zard suraj ke hathon mein girwi raha
kasmasate badan ke junubi taraf taziyanon ki barsat jari rahi aur shumali taraf sang-bari se udhDi hui khaal par
zindagi ki ye tamsil likkhi gai main to bas waqt ki jail mein qaid tha
aur tasawwur mein thi lahlahati hui KHushnuma zindagi
yani shandur ki bhurnhuri ghas pe baiTh ke match polo ke dekha karun
aur qahwa ki chuski lagate hoi sartre ko paDhun
qahqahon ke tamawwuj mein raqsan rahen nutq-e-taKHliq ke be-karan zamzame
par tasawwur to aaKHir tasawwur hi hai
dam-ba-dam phailte raqs karte KHayalat ke silsile sath chalte hue yak-ba-yak ruk gae
chaar-su goya phir ek diwar thi
sans lene ki koshish bhi be-kar thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.