tabut mein band hawas
mire saath sāñsoñ kī sūrat
vo tārīḳh ke saare aurāq meñ jāgtā hai
kasāfat-zada nāḳhunoñ kī syringoñ meñ bal khāte bichchhū bhare
mire phephaḌoñ kī tavānā.iyoñ meñ
masā.ib se samjhauta karne
haqīqat ki putliyoñ kā tamāshā samajhne kā sartān dāḳhil kare
mujhe zinda rahne ke aise qarīne sikhātā hai
jin ke sarāboñ meñ apnī hifāzat kī zanjīr pahne
mire paañv raqsāñ rahe
kisht-dar-kisht bohrāñ rahe
Thokaroñ meñ gulistāñ rahe
be-navā kashtiyoñ pe bipharte samundar meñ
chakloñ ke nīlām-ḳhānoñ meñ
bad-baḳht majnūñ pe bhārī sadāqat ke sahrā meñ
ātish-fishāñ naḳhl-hā-e-tamanna tale
gol mezoñ pe TuuTe hue ā.inoñ meñ
ki sundar butoñ kī shafaq shāmoñ meñ
har-sū
havāoñ kī mānind maujūd aafat
mirī uñgliyāñ
aag aur ḳhuun kī reshmī chhatriyāñ kholtī haiñ
maqābir kī be-gosh tārīkiyoñ meñ
mahālik kī paglī havāoñ meñ
cafoñ meñ ghaTiyā tambākū kī mānind sulge hujūmoñ meñ
mahkūm pagDanDiyoñ aur mahsūr saḌkoñ pe kuchle saroñ ke ta.affun meñ
vīrāñ dafātir kī bosīda mezoñ pe ārāsta
surḳh joñkoñ kī dahshat meñ
sabz gole ugalte
siyah āhanī azdahoñ ke hazīmat-zada shor meñ
munhamik jabr ke
apne hāthoñ meñ faulādī darre liye
muhāfiz mirā jāgtā hai
ḳhud apne papoToñ meñ ḳhāshāk hote
tadabbur ke ġharre liye
muhāfiz mirā jāgtā hai
mere sath sanson ki surat
wo tariKH ke sare auraq mein jagta hai
kasafat-zada naKHunon ki syringon mein bal khate bichchhu bhare
mere phephaDon ki tawanaiyon mein
masaib se samjhauta karne
haqiqat ki putliyon ka tamasha samajhne ka sartan daKHil kare
mujhe zinda rahne ke aise qarine sikhata hai
jin ke sarabon mein apni hifazat ki zanjir pahne
mere panw raqsan rahe
kisht-dar-kisht bohran rahe
Thokaron mein gulistan rahe
be-nawa kashtiyon pe bipharte samundar mein
chaklon ke nilam-KHanon mein
bad-baKHt majnun pe bhaari sadaqat ke sahra mein
aatish-fishan naKHl-ha-e-tamanna tale
gol mezon pe TuTe hue aainon mein
ki sundar buton ki shafaq shamon mein
har-su
hawaon ki manind maujud aafat
meri ungliyan
aag aur KHun ki reshmi chhatriyan kholti hain
maqabir ki be-gosh tarikiyon mein
mahaalik ki pagli hawaon mein
cafon mein ghaTiya tambaku ki manind sulge hujumon mein
mahkum pagDanDiyon aur mahsur saDkon pe kuchle saron ke taffun mein
viran dafatir ki bosida mezon pe aarasta
surKH jonkon ki dahshat mein
sabz gole ugalte
siyah aahani azdahon ke hazimat-zada shor mein
munhamik jabr ke
apne hathon mein fauladi darre liye
muhafiz mera jagta hai
KHud apne papoTon mein KHashak hote
tadabbur ke gharre liye
muhafiz mera jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.